al ajal al ajal al ajal
yabnaz zahra maa zehra
yabnaz zahra ye fathema
ya sayyedi ya murshadi
ya maulayi ya hassan mujtaba
shaam o sehar ay rahabar
ay taajdare kaun-o-makan
noor e khuda ay muntazar
hai muntazir ye saara jahan
yabnaz-zahra ya fatema
kehte hai sab jinn-o-bashar
arz o saman o dasht o jamal
hai mushkilay lakhon magar
hai muhskilon ka tu hi hal
aane lagi dekho sada
hayya ala khairil amal
hum dekhenge
lazim hai ke hum bhi dekhenge
wo roz ke jiska waada hai
jo lauh e azal pe likha hai
jo tera hai jo mera hai
kaunain may jiska charcha hai
jab lauh o qalam ke chehre se
parde sarkaye jayenge
hum dekhenge
lazim hai ke….
kuch raat gayi kuch baaki hai
pardon may sehar kuch kehti hai
dil par jo ye dastak hoti hai
ghaibat may koi ek hadi hai
jo haazir o naazir o qaaim hai
wo aayenge haa aayenge
hum dekhenge
lazim hai ke….
haa dekh badalte mausam ko
kya ho gaya nazm-e-aalam ko
chain aata nahi hai aakhir kyun
be-chaini ye nasle adam ko
dene de sada us qaaim ko
har uljhan wo suljha-yenge
hum dekhenge
lazim hai ke….
ye jaffar e sadiq ne hai kaha
wo roz juma hai ashura
jab unki sawari aayegi
tazeem karengi karbobala
kaabe se azan phir gunjegi
wo ek alam lehrayenge
hum dekhenge
lazim hai ke….
wo masjid-e-kufa may aakar
majlis ka saja-yenge mimbar
wo pursa lenge dunya se
shabbir ka khud zakir bankar
zainab ke masayab karke bayan
mimbar pe hi ghash khajayenge
hum dekhenge
lazim hai ke….
ankhon may imam-e-zamana ki
rehti hai sada ek sat hijri
kehte hai ziyarat e nahiya may
mai bhool nahi sakta hoo kabhi
maa baine zameen o zeen jo tha
wo laasha bhool na payenge
hum dekhenge
lazim hai ke….
paighame imam-e-zamana hai
gar jald mujhe bulwana hai
taqwe ke musalle par jaakar
paighame aman phailana hai
jab ilm ke deep jalaoge
hum ghaibat se aa-jayenge
hum dekhenge
lazim hai ke….
tajeel ho ab ibn-e-zehra
hai vird rehaan o sarwar ka
dunya ko zaroorat aap ki hai
deti hai sadaye karbobala
wo roz ke jis ka waada hai
wo waada aap nibhayenge
hum dekhenge
lazim hai ke….
Comment