Hai Apni Sakina Ka Abbas Ko Ghum

 

Hai apni sakina ka abbas ko ghum maula
Sar ghazi ka jab shaah ne seene se lagaya
sheh rag se sada aane lagi, haaye sakina
farmate the abbas mai, sharminda hu aaqa
pani mai sakina ke liye, laa nahi paaya
Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula
1. Tashreef jo laaye hai, tazeem ko uth jaata
sar apna jhuka kar mai, aadab baja laata
uthne se bhi qasir hu, haye..(2)
baazu hai qalam maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula
Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula
2. Khatoon e jina ne yu, girne se bachaya hai
rahwaar se bibi ne khud mujhko utaara hai
hai khaak pe bibi ke, haye..(2)
ye naqsh e qadam maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula
Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula
3. Aati hai sada koi badhti hai pareshani
jaise ke koi bachhi kehti ho chacha paani
hai maut se badh kar ye, haye..(2)
Zehra ki qasam maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula
Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula
4. Chhinte hue bibi ke dikhte hai gauhar mujhko
roti hui aati hai masooma nazar mujhko
kis tarha se jhelegi, haye..(2)
wo ranjo alam maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula
Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula
5. Maqtal mein padha rehne dijiyega mera laasha
abbas ki ghairat ko bardaasht nahi hoga
mayyat pe meri roye, haye..(2)
ab ehle haram maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula
Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula
6. Jaate hue hasrat hai ye aapke khadim ko
bus saaniye zahra ke khaime ki ziyarat ho
rukh pher de us jaanib, haye..(2)
ab waqt hai kam maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula
Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula
7. Reti pe tera khadim payro ko ragadta hai
hai zakhm lage itne, khoo’n jism se behta hai
ruk ruk ke nikalta hai, haye..(2)
ab seene se dum maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula
Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula
8. Mai aapke chehre ko dekhu to bhala kaise
ek teer se zakhmi hai, ek aankh hai tarr khoo’n se
ye teer hata de to, haye..(2)
hojaye karam maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula
Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula
9. Abbas ke khaime mein maula ne alam rakh ke
kaati hai tanabein yu akbar ke abhi jaise
dafnate hai ghazi ki, haye..(2)
hasrat mein alam maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula
Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula
pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *