Mir Hasan Mir | Suno Siffeen Suno Manqabat | 2016

 

Suno siffin suno – 2
ABBAS AS HAIDER AS – 2
Suno Siffin suno – 2
Quran E shuja’at se mai yaseen sunaun,
Dil walo’n safe bandho mai siffin sunaun
Suno siffin suno. – 2
 
1) kya khaima E HAIDER AS me hai siffin ka manzar,
Jhurmut me sitaro’n k ek chand zami’n par,
HAIDER AS k pisar charo taraf beech me HAIDER AS,
Ye dekh k hairan the Khud MALIK E ASHTAR ,
Ayina e noor ek sabhi aks e jali hain,
MOLA AS kise bolun k yha sare ALI AS hain.
Suno siffin suno – 2
 
2) Beto se mukhatib hua IMRAN AS ka beta,
Dil mujhse ye kehta hai mera ay  bani  ZAHRA SA,
Yani ye hai KHALIQ k irade ka irada,
Maida’n me lade aaj koi beta ALI AS ka ,
Khul jaye k waliyo’n ka wali ladta hai kaise,
Mai bhi to zara dekhun ALI AS ladta hai kaise.
Suno siffin suno – 2
 
3) Ik goshe se sun kar ye utha ek dilawar,
Qad 13 baras me ABUTALIB AS k barabar,
Surat me ALI AS HAMZA sifat azm me JAFER ,
Sar taba qadam qudrat E MABOOD ka paikar,
ZEHRA SA ki sada ayi k almas ladega,
HASSNAIN AS k Baba mera ABBAS AS ladega.
Suno siffin suno. – 4
 
4) Goya hua phir dast E adab jod k zaigham,
AY mahram E asrar E KHUDA KHALIQ E Adam,
Hasrat hai hamari bhi ladayi ye laden hum,
Wada raha ye apse ay KHALIQ E Adam,
ZEHRA SA ki duao’n ka aqqaas na kehna,
Dushman na ALI AS keh de to ABBAS AS na kehna.
Suno siffin suno – 4
 
5) Saj ban gaya khaime me jo HAIDER AS ka dulara,
Sadqa mere GHAZI AS ka wafao’n ne utara,
Chehre pe naqaab aap ye karta tha ishara,
Tarikh ne phir dekha kahan aisa nazara,
Parde me kuch is tarha se ABBAS AS E jari the,
Jaise pas E parda shab E meraj ALI AS the.
Suno siffin suno – 4
 
6) Khaime se baramad hua HAIDER AS ka Gazanfar,
Ggaiz O ghazab O rob jalaal aye  ghazab par,
Tayyar nazar aya jo lashkar pas E lashkar,
JIBREEL AS ne dum nad E ALI AS kar li paro par,
Haibat thi-2
Ajab sans farishto’n k chadhe the,
Khud maut se chip kar Malakun Maut khade the.
Suno siffin suno – 4
 
7) Kis sher ka maida’n me utarta hai jigarban,
Aada pe kia Maut ne har zeest ka Dar band,
Munh khole hain hairat zabane hain Magar band,
Lashkar hua nazro me dilawar ki nazar band,
Tauba ka na ghar REHMAT E AALAM ka khula hai,
Sab band hain bas rasta jahannum ka khula hai.
Suno siffin suno – 4
 
8) Jis simt chala tegh uthaye wo bahadur,
Sab taayir E arwah ude Jism se phur-phur,
Dehshat se tha har ek guru goore hue gur,
Tha tegh ki jhankar me pancham ka ajab sur,
Awaaz yahi ahle dagha dete the bhago,
Sab raag baharo me suna dete the bhago.
Suno siffin suno – 4
 
9) Yak baar kia sher ne hamla jo jhapat kar,
Patto ki tarah Jism ki shakho’n se gire sar,
San San jo chali tegh ulatne lage lashkar,
Paigham ALI AS ka ye hawale diya aakar,
Are, Dil khol k lad lo na taraddud me raho tum,
ABBAS – 3 yahin rok dun suraj jo kaho tum.
Suno siffin suno – 4
 
10) Talwar se Dar Dar k nidar bhag rahe the,
Thi Maut udhar ran me jidhar bhag rahe the,
Bhaga nahi jata tha magar Bhag rahe the,
Jaldi me wagar chod k sar bhag rahe the
Saans un k ruke the k jo maida’n me ruke the,
Zindo ki ye haalat thi ki murdo’n me chupe the.
Suno siffin suno – 4
 
11) Kehti thi ajal dasht se be Jaan sameto,
Ye hath ye sar Jism ye dandan sameto,
Ay zakhmiyo’n pe bikhre hue ausaan sameto,
Ghar jao meri maan lo samaan sameto,
Marte ho  jawani me ajab zauq hai tumko,
Kya Khud ko shikarne ka bahot shoq hai tumko.
Suno siffin suno – 4
 
12) Tarikh sunati hai ye siffin ka qissa,
Maida’n me jo aaye pisar aane bin E shasaa’n,
Nagin k sapole the magar wah re hamla,
MUSA ki aisa ki tarha sab kha gaya naiza,
Sato’n pe buzurgo k sabaq kar diye roshan,
To aise kiye chaudah tabaq kar diye roshan.
Suno siffin suno – 4
 
13) Dil me yahi kehta raha SARWAR AS ka ALAMDAR ,
Phir moqa mile YA na mile ay meri Talwar,
Tez or zara tez ho ab tez ho raftar,
Ay kash na roke mujhe ab HAIDER E KARRAR AS,
Haq kardun ada FATEMA ZAHRA SA k namak ka,
Are, badla  abhi  lelunga mai in sab se fidak ka.
Suno siffin suno – 4
 
13) Maida’n se utha shor ALI AS hai ye ALI AS hai,
Kehte the fidak khor ALI AS hai ye ALI AS hai,
Bole ye labe go ye ALI AS hai ye ALI AS hai,
Are,  bilkul hai Wahi zauq ALI AS hai ye ALI AS hai,
Sar uska udega jo bhala usse adega,
ALLAH ki taaqat se bhala kaun ladega.
Suno siffin suno – 4
 
14) SHABBIR AS bhi Kehne lage kya khoob kia kaam,
Do hath me hi kar dia kuffar me kohram,
In hatho se hone hain abhi or bahot kaam,
Bhai hai tere waste Bhai ka ye in’aam,
Tu ayega ay sher palat kar jo hadaf se,
Mai hath dabaunga tere maa ki taraf se.
Suno siffin suno – 4
 
15) HAIDER AS – 2 ne naqaab ake uthaya jo Takallum,
ABBAS AS k chehre pe nazar aya tabassum,
Baqi jo bache the wo hue Dekh k gum-sum,
MOLA AS ne kaha sham k laskhar se suno tum,
Ye FATEMA ZAHRA SA ki duao ka asar hai,
Pechan lo sab ye BANI HASHIM KA BHI QAMAR AS hai.
Suno siffin suno – 4

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *