ANA KARBALAI ANA MURTAZAI |BY ALI SAFDAR 2016-17|

 

 

Najaf say hain niklay Hussaini Jialay
Ziarat ki khawahish, Alam hain Sambhaly
Ye boorhay jawan auraten goad walay
Ye hain phool jannat ky pairon k chaalay
Ye Mehdi k nasir hussaini fidaai
Hussaini fidai hussaini fidai

ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai

najaf sy safar karbala ka karain gay
na daayesh ka dar hai hum aagay barhen gay
karain qatl jitna bhi utna jiyen gay
bus ab karbala mein qadam yeh ruken gay
lehad karbala mein ho ye murtazai

ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai

azaa walay quran k tarjumaan hain
alam k pharairay sy hum jaawidaan hain
jawaan saray akbar k dil sy jawaan hain
ye bachay bhi bay sheer k hum zuban hain
hussaini likhai, hussaini fidai

ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai

lutaya hai sheh ny bhara ghar Khudaya
phira hai bhateeja biradar khudaya
yeh noor e nazar mera akbar khudaya
yeh hai chay mahinay ka asghar khudaya
k jaan dy k islam ki jaan bachai

ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai

yeh ilm o amal nusraten hon gi paiham
na ho gi azadari har giz kabhi kumm
ibadat namazen ye majlis ye matam
imam e zamana k nasir banain hum
bahut sy muhaazon py ho gi larhai

ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai

chala hurr har ik zulm o zulmat sy larh k
wo sufianiat sy, woh daolat sy larh k
who jeeta yazeedon ki taaqat sy larh k
gya pas shehh k hakoomat sy larh k kaha hurr ny maola ny qismat jagaai

ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai

zameen par ye gosh e nabi ka makeen hai
ye ik lash bay sir hai tapti zameen hai
karay koi imdaad koi nahi hai
jahan sheh ka lasha hai maan bhi wahiin hai
har ik lash maqtal sy shehh nay uthaai

ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai

ye sham aur koofay mein dil ro raha hai
hain lashay zameen par yeh karb o bala hai
ye ghairat sy sajjad ka sir jhuka hai
behan hai khulay sir, phophi bay rida hai
na taoq e giraan ny hai garden jhukai

ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai

hain sairaab karty qamar pyaas walay
hussaini mujahid who hammas walay
Iraq o yaman mein hain yeh aas walay
hain zainab k rozay py abbas walay
Ali walay kehtay hain mushkil kushai

ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *