Mir Hasan Mir | Utho Sakina Chalein Karbala Noha | 2020

 

 

●Sakina aye Sakina
 
●Zindann se jab riha hue sadate karbala
Maa ne lipat k qabre sakina pe di yeh sada
Utho sakina chale karbala
 
●Choti si turbat pe maa ne kaha
 
●Zindan se jata hai ab qafla
 
●Mujhe shahzadi tumhari qasam
Na rakhun gi zindan se bahir qadam
Safar ki ab hoti hai tayarian
Amari mei bethe hai ahl e aza
Ghurbat ka mere tumhe wasta
 
●Woh pehle k jese to ghurbat nahi
Aye bibi hamari woh halat nahi
Tumhe shamiyon se ab aye meri jaan
Kafan mangne ki zaroorat nahi
Lo mil gai hai tumhari rida
 
●Mujhe yaad asghar ki hai babasi
Lahad se woh mayat nikali gai
Akele mei rehne na dun gi tumhe
Bharosa nahi shamio ka koi
Rehte hai charo taraf ashqian
 
●Yeh shami kahan tumko behlai gay
Tumhari lahad per nahi ai gay
Rahay ga andhera hi zindan mei
Haram jab yahan se chale jai gay
Kon ai ga phir jalane diya
 
●Kahani padar gi sunao gi mei
Agar neend ai sulao gi mei
Akele na naqe pe bethu gi tum
Tumhay sath apnay bithao gi mei
Ab to rasan mei na hoga gala
 
●Mujhe maar daale ga bus yahi ghum
Qamar hai bete tumhari tukham
Waram bazou ka mujhe yaad hai
Tumhe to dikhai bhi deta hai kam
Akbar se bibi mile gi shifa
 
●Bari dair tehri hai darbar mei
Yahan per na roko ziyada unhe
K pehlu pe ek hath rakhe hue
Sada de rahi hai sakina tumhe
Lene ko ai hai khud sayedda
 
●Thi zindan mei akber ajab woh ghari
Rehai pe roti thi her ek phoopi
Idher khoon rota tha abid udhar
Sakina lahad mei tarapti rahi
Jab bhi yeh madar ne ro ker kaha

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *