Farhan Ali Waris | Sar E Qabr E Zehra | 2018 | 1440

 

Andhere andhere yateemo se chup kar
sare qabr e zehra ali ro rahe hai

Ya zehra, ya zehra

1. Tumhari musibat bhulaunga kaise
mai bachho se aasu chupaunga kaise
tumhe yaad karke jo royenge bachhe
mai bachho ko apne manaunga kaise
tasawwur mein zehra se karke ye baatein
jhukaye sar apna ali ro rahe hai

2. Ya zehra, ya zehra
kabhi aasuo’n ko chupati hai zainab
kabhi bhaiyo ko uthati hai zainab
kabhi ghar ke aangan mein aati hai zainab
kabhi maa ke hujre mein jaati hai zainab
kabhi roke dukhiya ye karti hai nauha
utho amma fizza ali ro rahe hai

3. Ya zehra, ya zehra
Utho shahzadi hua hai andhera
tumhare bina wo kaha’n so sakega
mai jaunga wapas to bolega baba
meri maa kaha’n hai bula do khudara
akele jalakar charagh aasuo’n ka
sare qabr e zehra ali ro rahe hai

4. Ya zehra, ya zehra
Hai shehre nabi mein samaa karbala ka
na koi tasalli na koi dilasa
taraste hai ghar mein yatiman e zehra
koi aake deta nahi inko pursa
hussain o hasan ka kahi’n par hai girya
kahi’n mere maula ali ro rahe hai

5. Ya zehra, ya zehra
kabhi is jagah ko na bhulenge maula
ye kucha hai maqtal dil e murtaza ka
yaha’n se na guzre hasan baad e zehra
sitamgar ne maara tha yu taziyana
Mohammad ki beti zamee’n par giri thi
yaha’n baithe tanha ali ro rahe hai

6. Ya zehra, ya zehra
Wo lamhe hai mushkil ali ko bhulana
wo pehlu pe jalte hue darr ka girna
wo aaho’n ka bharna wo zakhmo ka ghisna
shahadat wo mohsin ki zehra ka rona
takallum abhi tak isi bekasi par
lahad mein bhi maula ali ro rahe hai

Andhere andhere yateemo se chup kar
sare qabr e zehra ali ro rahe hai..(3)

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *