Nadeem Sarwar | Hussain Labbaik | 2015 | 4K

 

Hussain Labbaik
Hussain Hussain Hussain
Ye farshe aza sab ke liye hai zahra ki dua sab ke liye hai..(2)
Ye farshe aza
Ye farshe buqa
Ye farshe aza farshe buqa karbobala hai
Ye khaq e najaf khak e haram khaak e shifa hai
Ye noor e khuda qibla numa arshe khuda hai
Jalne na do nafrat ke diye pyari hawao
Hai ek khuda ek nabi sab ko batao
Aur kaho
Aur kaho
Aur kaho

Labbaik hussain labbaik
Ye farshe aza sabke liye hai…..

Duniya me saf e matam e shabbir bichao..(2)
Khwahish hai ye zahra ki ise bhul na jao
Paigham e hussain ibne ali sabko sunao
Insan shanasi hai aza khano me aao
Ye amn ka paigham hai dunaya ko sunao

Shabbir ne sikhlayi hai insaan shanasi
Insa ki hidayat ke liye jaan luta di
Hai majlis e shabbir isi nukhte ki aadi
Allah ki dharti pe na tum khoon bahao
Chahat ke shajar phool muhabbat ke khilao

Haan…
Insa ki nigheban azadari e shabbir
Momin ka hai imaan azadari e shabbir
Rishto ki hai pehchan azadari e shabbir
Is dar se muhabbat ko suno aur sunao
Abbas e alamdar ke parcham ko uthao

Ye karbobala kya hai ye maqtal nahi maqtab
Is maqtab e aali ki mudarris hui zainab
Jis bibi ne mazbut kiya aur bhi mazhab
Is bibi ke khutbo ko nisabo me padhao
In phulon ko guldan e aqeedat me sajao

Haan…
Gar shauk e ziarat hai azakhane me aao
Gar amn ki chahat hai azakhane me aao
Dehshat se jo nafrat hai azakhane me aao
Jannat ki zururat hai to is gham ko manao
Duniya se sitamgaro ke fitne ko mitao

Ye aun o mohammad ali Akbar ka hai matam
Abbas sakina ali asghar ka hai matam
Ye zainab o kulsum ka haider ka hai matam
Wo dekho safiraan e aza aate hai aao
Aye sarwar o rehan chalo nauha sunao

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *