Hussain (A.S) Mara Gaya | Shadman Raza | New Noha 2022- 1444

Farmati Hain Ye Hazrat Salma Jigar Figar 

Ik Roz Meray Khwab Me Aay Falak Waqar 

Chehra Tha Zard Ranj Se Aankhain Thin Ashk Baar

Amma Tha Galay Me Phata Sar Pe Thi Ghubar

Me Ne Kaha Tarap Ke Ay Sultan E Ambiya 

Ye Haal Kesa Aap Ne Apna Bana Liya

Kesi Parhi Hui He Ye Chehray Pe Khak O Dhool 

Haathoun Se Moun Ko Peet Ke Kehnay Lagay Rasoo

Kund Khanjar Se Sar Utara Gaya 

Umm E Salma Hussain Mara Gaya

Kund Khanjar Se Sar Utara Gaya 

Umm E Salma Hussain Mara Gaya

Aaraha Houn Zameen E Karbal Se 

Chain Sabr O Qarar Sara Gaya 

Umm E Salma Hussain Mara Gaya

Jis Ko Apni Zuban Chusata Tha

Piyasa Dunya Se Wo Dulara Gaya 

Umm E Salma Hussain Mara Gaya

Rota Zahara Ko Chorh Aaya Houn

Mujh Se Dekha Na Wo Nazara Gaya

Umm E Salma Hussain Mara Gaya

Teen Din Ka Wo Bhoka Piyasa Tha

Jis Gharhi Tan Se Sar Utara Gaya 

Umm E Salma Hussain Mara Gaya

Saw Jaghah Se Jo Chak Tha Kurta

Khench Kar Jism Se Utara Gaya

Umm E Salma Hussain Mara Gaya

Looti Angushtari Kisi Ne Aba

Le Ke Asbab Koi Sara Gaya

Umm E Salma Hussain Mara Gaya

Aini Likho Ke Khon E Asghar Se

Shadmsm Deen Ko Sanwara Gaya 

Umm E Salma Hussain Mara Gaya

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *