Hassan Sadiq | Qaid zindaan me choti si ek hain Noha | 2014

 

Haye Sakina haye Shaam….x4
Haye Shaam…..x2
(Qaid zindaan me choti si ek hain qaidan ek hain qaidan)x2
 
(Jane kab hoke riha)x2
Jayegi woh apne watan
Ek hain qaidan
(Qaid zindaan me……)x2
 
Dur baba se huwi bhaiyya se bhi dur huwi
Siskiyaan le na sake kitni woh majboor huwi
(Khoon kanon se rawa)x2
Hathon me hain uske rasan
Ek hain qaidan
(Qaid zindaan me…..)x2
 
Jab se bhichdi hain woh baba se kaha soyi hain
Yaad zindaan me baba ko karke royi hain
(Ab use sone bhala)x2
Deti hain pattharon ki chubhan
Ek hain qaidan
(Qaid zindaan me……)x2
 
Puchti rehti hain Sajjad se kab jaugi ghar
Karna ehsaan yeh mujh par bhai mar jau agar
(Yaha Asgar hain waha )…..x2
Karna mujhe bhai dafan
Ek hain qaidan
(Qaid zindaan me…….)x2
 
Jab woh zindaan ki deewaron se takrati hain
Sirf zanjeer ke rone ki sada ati hain
(Roye zindaan use)x2
Roye use gharkhe kuhan
Ek hain qaidan
(Qaid zindaan me….)x2
 
Chaya zindaan me hain gor andhera haye
Aur zindaan ke andheron me woh dar dar jaye
(Haye khurshid ti na)x2
Aye na dar usko kiran
Ek hain qaidan
(Qaid zindaan me…….)x2
 
(Jane kab hoke riha)x2
Jayegi woh apne watan
Ek hain qaidan
(Qaid zindaan me……)x2
 
Haye Sakina haye Shaam…..x4
Haye Shaam…..x2

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *