Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar | Muhammad Owais Raza Qadri | 2019

 

Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar
Hum Bhi Bebas Nahi Be sahara Nhi

Khud Unhi Ko Pukare ge Hum Door Se
Raaste Mein Agar Paon Thak Jayenge

Hum Madinay Mein Tanha Nikal Jayenge
Aur Galiyon Mein Kes Dun Batak Jayenge

Jaise Hi Sabz Gumbad Nazar Ayega
Bandagi Ka Kareena Badal Jaye Ga

Sar Jhukane Ki Fursat Milay Gi Kisey
Khud Hi Palkon Say Sajdey Tapak Jayenge

Naam E Aaka Jahan Bhi Liya Jayega
Zikr Unka Jahan Bhi Kiya Jayega

Noor Hi Noor Seeno Mein Bhar Jayega
Sari Mehfil Mein Jalwe Lapak Jayegey

Aie Madinay Kay Zahir Khuda Ke Liye
Dastaan E Safar Mujko Yoon Mat Suna

Baat Bhar Jayegi Dil Tarap Jayega
Meray Mohtat Ansoo Chalak Jayegay

Unki Chashme Karam Ko Hai Iski Khabar
Kis Musafir Ko Hai Kitna Shaukey Safar

Humko Iqbal Jab Bhi Ijazat Mili
Hum Bhi Aaqa Kay Darbar Tak Jayegeney

Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar
Hum Bhi Bebas Nahin Besahara Nahi

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *