Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain
Matam E Shabbir Yeh Matam E Shabbir
Matam E Shabbir Azadar Karen Gay
Dill Mein Basa Hai Ishq E Hussaini
Ishq Ka Yun Izhar Karen Gay
Matam E Shabbir Yeh Matam E Shabbir
Matam E Shabbir Azadar Karen Gay
Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain
Sheh Ki Aza Py In Ka Pehra
Yeh Hain Dil E Zehra Ka Yaqeen
In Ka Alam Hai Sab Say Aagay
In Say Aagay Koi Nahi
Halqa E Matam Ki Salaari
Ghazi Alambardar Karen Gay
Matam E Shabbir Yeh Matam E Shabbir
Matam E Shabbir Azadar Karen Gay
Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain
Qama Zani Zanjeer Zani Say Apna Khoon Bahatay Hain
Matamiyon Ky Khoon Ky Qatray Ek Diya Ban Jatay Hain
Apny Lahu Sy Yun Hi Ujalay Shah Ky Pursadar Karen Gay
Matam E Shabbir Yeh Matam E Shabbir
Matam E Shabbir Azadar Karen Gay
Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain
Dast E Ali Py Baiyat Ki Hai
Den Gay Gawahi Arsh O Zameen
Hai Mera Rehbar Mola Haider
Mera Wali Aur Koi Nahi
Ghair Ki Baiyat Say Har Lamha
Aaj Bhi Hum Inkar Karen Gay
Matam E Shabbir Yeh Matam E Shabbir
Matam E Shabbir Azadar Karen Gay
Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain
Woh Jo Ghatata Hai Mimbar Py
Aal E Nabi Ki Azmat Ko
Bhool Gaya Hai Woh Koofay Mein
Lashkar E Zulm Ki Haalat Ko
Dekhna Ek Din Tera Muqassir
Hashar Wahi Mukhtar Karen Gay
Matam E Shabbir Yeh Matam E Shabbir
Matam E Shabbir Azadar Karen Gay
Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain
Yeh Saray Noha Khuwan E Hussaini
In Ko Chuna Hai Zehra Nay
Yeh Saray Zakir Saray Sana Khuwan
Parhty Hain Izn E Mola Say
Tum Jo Karo Gay In Ki Izzat
Mola Bhi Tum Say Pyar Karen Gay
Matam E Shabbir Yeh Matam E Shabbir
Matam E Shabbir Azadar Karen Gay
Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain
Mojza Hai Yeh Ishq E Ali Ka
Karta Hai Yeh Naslon Mein Safar
Is Mein Koi Do Raaye Nahi Hai
Baap Ky Jaisa Ho Ga Pisar
Matamiyon Ki Auladon Par
Apna Karam Sarkar Karen Gay
Matam E Shabbir Yeh Matam E Shabbir
Matam E Shabbir Azadar Karen Gay
Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain
Un Ki Raza Hoti Hai Marzi
Milta Hai Tab Irfan E Aza
Sahib E Alam Ki Janib Say
Hony To Do Ailan E Aza
Sibt E Nabi Ky Soag Mein Matam
Ghar Ky Dar O Deewar Karen Gay
Matam E Shabbir Yeh Matam E Shabbir
Matam E Shabbir Azadar Karen Gay
Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain
Comment