Farhan Ali Waris | Wa Hassan Sabz Qaba | Noha | 2011

Haaye… Maqtal se aaya lashae qasim… Bhai Hassan ki yaad satane lagi

Zainab Ne Roke Lashae Qasim pe ki buka

Wa Hassan Sabz kaba Bekhata Qasima..(3)

1) Kal Tera Jigar Tukdon me Bata tha Aaj tera qasim TUKDON me bat gaya

wa Hassan sabz kaba….

2)Duniya Ne Tujh ko chain se Rehne nahi dia

Tujhko zeher diya ye sitam khtm na hua

ye zulm chalte chalte Qasim tak agaya

3) Ummat ne tere saath bada zulm ye kiya

Tukde hua kaleja tera wa musibata

maqtal me tera qasim Tukdon me batgaya

4) Tha chand fatema ka sitam ki ghataon me

gharse chala janaza to tiron ki chaon me

qasim ka lasha dhup me pamaal hogaya

5) Tujhpar salaam ay mere mazlum tar Aqi

Qasim ki tarbiyyat me kami koi na rakhi

Akbar se pehle shaah pe Qurbaan hogaya

6)Lekin Tujhe Kafan to moyassar tha bhai ka

Qasim to bekafan hi gaya chodkar jahan

kyon kar na mere labpe har dam ho ye buka

7) Iske wega Hussain se Jab Mil Nahi Saka

Taweez Tera Sath me Laya wo mehlaka

Dil tod kar Hussain ne be sakhta Kaha

8) Paiwand The jitne teer the tabut me tere

otne hi Zakhm Qasime dil geer ko lage

farwah ke labpe aya is gham se marsiya

Wa hassan sabz kaba bekhata qasima..3

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *