Bheeni suhaani subh mei(n) thandak jigar ki hai
Kaliya(n) khilee(n) dilo(n) ki hawa yeh kidhar ki hai
Khabti hui nazar mein ada kis sahar ki hai
Chubhti hui jigar mein sada kis gujar ki hai
Dalai(n) hari hari hain to balen bhari bhari
Kasht amal pari hai yeh barish kidhar ki hai
Hum jaye(n) aur qadam se lapat kar haram kahe
Sonpa khuda ko yeh azmat kis safar ki hai
Hum gird e ka’aba phirtay thay kal tak aur aaj woh
Hum par nisar hai yeh iradat kidhar ki hai
Kalak jabeen ki sajda e dar se churaao ge
Mujh ko bhi le chalo yeh tamanna hajr ki hai
Dooba hua hai shoq mein zamzam aur aankhh se
Jhaalay baras rahay hai(n) yeh hasrat kidhar ki hai
Barsa ke janey walo(n) pay gohar karoo(n) nisar
Abre karam se arz yeh meezab zar ki hai
Agosh shoq khole hai jin ke liye hateem
Woh phir ke dekhte nahi yeh dُhn kidhar ki hai
Haan haan rah madinah hai ghaafil zara to jaag
O paon rakhnay walay yeh ja chasham o sir ki hai
Vaaru(n) qadam qadam pay ke har dam hai jaan e no
Yeh raah e jaa(n) fiza mere maula ke dar ki hai
Ghariyaan gani hain barson ke yeh sub gharri phree
Mar mar ke phir yeh sil mere seenay se sar ki hai
Allah u akbar apne qadam aur yeh khak e paak
Hasrat malaika ko jaha(n) waz’a e sar ki hai
Me’raaj ka samaa(n) hai kahan pohnche zaaero !
Kursi se unchee kursi usi pak ghar ki hai
Ushshaaq e roza sajda mein soye haram jhuke
Allah jaanta hai ke niyyat kidhar ki hai
Yeh ghar yeh dar hai us ka jo ghar dar se paak hai
Muzda ho be gharo ke sila achay ghar ki hai
Mehboob e rabb e arsh hai is sabz qubba mei(n)
Pehlu mein jalwa gaah ateeq o umar ki hai
Chaaye malaaika hai(n) lagataar hai duroood !
Badlay hain pehray badli mein barish durar ki hai
Saadein ka qiran hai pehluey mah mein
Jhurmat kiye hain taray tajallii qamar ki hai
Sattar hazaar subh hai(n) sattar hazaar shaam
Yu(n) bandagi zulff o rukh aatho(n) pehar ki hai
Jo aik baar aeye dobarah nah aye(n) ge
Rukhsat hi bargaah se bas is qadar ki hai
Tarpa kare(n) badal ke phir aana kahan naseeb
Be hukm kab majaal parinday ko par ki hai
Ae waaey be kasi tamanna ke ab umeed
Din ko nah shaam ki hai nah shab ko sahar ki hai
Yeh badliyan nah hon to karooro(n) ki aas jaye
Aur bargaah marhamat aam tar ki hai
Ma’sumo(n) ko hai umar mein sirf aik baar baar
Aasi pare rahen to sala umr bhar ki hai
Zindah rahe(n) to haazri baargeh naseeb
Mar jayen to hayaat e abad aish ghar ki hai
Muflis aur aisay dar se phiray be ghani hue
Chandi har ik tarhan to yahan gadye gar ki hai
Janaa(n) pay takiya khaak nihaali hai dil nihaal
Haan be nawaao khoob yeh soorat guzar ki hai
Hain chiter o takhat saaya e deewar o khak e dar
Shahoo(n) ko kab naseeb yeh dhaj karro far ki hai
Is pak ko mein khaak basar sar ba khaak hai(n)
Samjhay hain kuch yahi jo haqeeqat basar ki hai
Kyun taajdaro! Khawab mein dekhi kabhi yeh shai
Jo aaj jhooliyo(n) mein gadaayan e dar ki hai
Jaro kishoo mein chehray likhay hai(n) mulook ke
Woh bhi kahan naseeb faqat naam bhar ki hai
Taybah mein mar ke thanday chalay jao ankhen band
Seedhi sarrak yeh shehr e shafa’at nagar ki hai
Aasi bhi hain chaheetey yeh taybah hai zaahido!
Makkah nahi ke jaanch jahan kher o shar ki hai
Shan e jamal taeba e janaa(n) hai naf’a mehez!
Wus’at jalal e makkah mein sood o zarar ki hai
Kaaba hai be shak anjuman aara dulhn magar
Saari bahar dulhanoo(n) mein dulha ke ghar ki hai
Kaaba dulhn hai turbat ather nai dulhan
Yeh rashke aftaab woh ghairat qamar ki hai
Dono banee(n) sajeeli aneeli bani magar
Jo pi ke paas hai woh suhagan kunwar ki hai
Sirsabz wasl yeh hai siya posh e hijr woh
Chamki dopatto(n) se hai jo haalat jigar ki hai
Ma o shuma to kya ke khaleel e jaleel ko
Kal dekhna ke unn se tamanna nazar ki hai
Apna sharf duaa se hai baqi raha qubool
Yeh jaanen un ke haath mein kunji asar ki hai
Jo chahay un se maang ke dono jahan ki kher
Zar na khareedah aik kaneez unn ke ghar ki hai
Roomi ghulam din habshi baandiyaa(n) shabei(n)
Ginti kaneez zado(n) mein shaam o sahar ki hai
Itna ajab bulandi e jannat pay kis liye
Dekha nahi ke bheek yeh kis unchay ghar ki hai
Arsh e baree(n) pay kyu(n) nah ho firdous ka dimagh
Utree hui shabih tere baam o dasr ki hai
Woh khuld jis mein utray gi abrar ki baraat
Adna nichhawar is mere dulha ke sar ki hai
Anber zamee(n) abeer hua mushk tar gubhar !
Adna si yeh shanakht teri rah guzar ki hai
Sarkar hum ganwaroon mein tarz e adab kahan
Hum ko to bas tameez yahi bheek bhar ki hai
Mangei(n) ge mangay jaye(n) ge munh mangi payen ge
Sarkar mein nah “laa” hai nah haajat “agar” ki hai
Uff be hayaiyaan(n) ke yeh munh aur tere huzoor
Haan tu kareem hai teri khoo dar guzar ki hai
Tujh se chupaao(n) munh to karoo(n) kis ke samnay
Kya aur bhi kisi se tawaqqa nazar ki hai
Jaon kaha(n) pukaro(n) kisay kis ka mun taku(n)
Kya pursish aur ja bhi sag e be hunar ki hai
Bab e ataa to yeh hai jo behka idhar udhar
Kaisi kharabi us nighrat dar badar ki hai
Abaad aik dar hai tera aur tere siwa
Jo bargaah dekhiye ghairat khandar ki hai
Lab wa hai(n) ankhen band hain phely hai(n) jholiyaa(n)
Kitney mazay ki bheek tere pak dar ki hai
Ghaira andheroo(n) ne duhai hai chaand ki
Tanha hon kaali raat hai manzil khatar ki hai
Qismat mein laakh paich ho(n) so bal hazaar kaj
Yeh saari githi ik teri seedhi nazar ki hai
Aisi bandhi naseeb khulay mushkile(n) khulei(n)
Dono jahan mein dhoom tumhari kamar ki hai
Jannat nah den, nah den, teri royat ho kher se
Is gul ke agay kis ko hawas barg o bar ki hai
Sharbat nah den, nah den, to kere baat lutf se
Yeh shehad ho to phir kisay parwa shakar ki hai
Mein khana zaad kuhna ho(n) surat likhi hui
Bundon kaneezo(n) mein maray mader padar ki hai
Mangta ka haath uthte hi daata ki daen thi
Duri qubool o arz mein bas haath bhar ki hai
Sanki woh dekh baad e shafaat ke day hawa
Yeh aabaroo raza tere daamaan e tar ki hai
Comment