Hassan Sadiq | Hashar Mein Rang Laega, Maqtal Mein Dhond Ti Hai | 2002

 

Hasher mein rang laiga

(Shaheed e kerbala, hey deen ki baqa, zabi hey nainawa husain badshah) x2

(Hasher mein rang laiga khune shahida dekhna) x2

1. (Ayengi jab fatema) x2

haal-e- perishan dekhna

(Hasher mein rang laiga khune shahida dekhna) x2

2. Roo baru baba kay jab khatoon jannat e ayengee ,

khali joli sarwar-e- konain ko dekhlai gee ,

(phir yakee kehlayenga) x2

Mehshar ka maidan dekhna

(Hasher mein rang laiga khune shahida dekhna) x2

3. Rakhdiya barchi ne akber ka kaleja cheer ke,

Rukh badal dale hai ummat ne teri tasweer ke,

(Malike kawsar zaraa) x2

Ummat ke ehsan dekhna

(Hasher mein rang laiga khune shahida dekhna) x2

4. Asgare masoom ke lab par sawaale aab hai,

Bund paani ke liye wu kis kadar betab hai,

(Nehr se paani nahi) x2

deytay musalman dekhna

(Hasher mein rang laiga khune shahida dekhna) x2

5. Zainab o kulsoom say kehta tha shimr e baad gohar ,

shaam mein jawonge nange sar phirongi dar badar,

(Karbela ke baad ab) x2

Tarikh zindaa dekhna

(Hasher mein rang laiga khune shahida dekhna) x2

6. Gham bhalaa gulzaar ka is dil ko roze hashar ka,

Jo hai awlaade payamber ki muhabbat se bharaa,

(Baksh wa denge use) x2

Yasrab ke sultan dekhna

(Hasher mein rang laiga khune shahida dekhna) x2

7. (Ayengi jab fatema) x2

haal-e- perishan dekhna

 

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *