Ham madine jayenge Haal e dil sunayenge
Bhar gaya hamara dil Is jahan se
Hazri e tayba do ham garib logon ko
Jine ka sahara do ham garib logon ko
Be vafa zamane ne dar badar kiya hamko
Kadmon mai thikana do ham garibon ko
Ham madine jayenge
Ek roz hoga jana sarkar ki gali mai
Hoga vahi thikana sarkar ki gali mai
Go paas kuchh nahi hai lekin ye dekh lena
Ek din muje zamana sarkar ki gali mai
Samjenge ham niyazi unki karam navazi
Jis din hue ravana sarkar ki gali mai
Ham madine jayenge
Ro raha hu mai kab se dur hu madine se
Aane ka ishara do ham garib logon ko
Ham madine jayenge
Tayba ke jaane vaale jakar bade adab se
Mera bhi kissa e gam kehne shahe arab se
Kehna ke shahe alam ek ranjo gam ka maara
Donon jahan mai jiska hai aap hi sahara
Halate pur alam se is dam guzar raha hai
Aur kampte labon se fariyad kar raha hai
Baar e gunah apna hai dosh par uthaye
Koi nahi hai esa jo puchhne ko aaye
Bhatka hua musafir manzil ko dhundhta hai
Taarikiyon mai mahe kamil ko dhundhta hai
Seene mai hai andhera dil hai siyah kala
Ye sab meri hakikat sarkar ko sunana
Ham madine jayenge
Aur ham kaha jayen ham tere bhikari hai
Fatma ka sadka do ham garib logon ko
Ham madine jayenge
Ab to maahe ramzaa mai ronake madine ki
Dekhne ka moka do ham garib logon ko
Ham madine jayenge
Soz bas madine ka ho dile Ujagar mai
Ishk mai tadapna do ham garib logon ko
Ham madine jayenge
Comment