Mesum Abbas | SABEEL E HUSSAIN | 2016

Sabeel E Hussain
Sabeel E Hussain
Sabeel E Hussain
Sabeel E Hussain

Chale Aao
Aao Aao

Aao Aao Sabeel e Hussain Per
Aao Aao Sabeel e Hussain Per, Zehen Main Karbala Ke Hon Pyaase, Zehen

1.Main Karbala Ke Hon Pyaase
Naam e Asghar Pe Paani Pilaao
Naam e Asghar Pe Paani Pilaao
Honge Khush Mustafa Ke Nawaase

Aao Aao Sabeel e Hussain Per, Zehen Main Karbala Ke Hon Pyaase

2.Karbala Main Jo Tha Band Paani, Ye Sabeelain Hain Uski Nishaani
Al Atash Ki Sadayain Musalsal, Vo Sakina Ki Tishnadahaani
Uski Tishnalabi Yaad Rakhna, Uski Tishnalabi Yaad Rakhna
Pyaase Bachon Ko Dena Dilaase

Aao Aao Sabeel e Hussain Per, Zehen Main Karbala Ke Hon Pyaase
Aao Aao Sabeel e Hussain Per, Zehen Main Karbala Ke Hon Pyaase

3.Yaadgaar e Shah e Karbala Hai, Iska Saaqi Wafa Ka Khuda Hai
Ye Jo Mashk o Alam Dekhte Ho, Aaj Tak Ye Vohi Silsila Hai
Saamne Alqama Behrahi Thi, Saamne Alqama Behrahi Thi
Aur Aal e Muhammad They Pyaase

Aao Aao Sabeel e Hussain Per, Zehen Main Karbala Ke Hon Pyaase
Aao Aao Sabeel e Hussain Per, Zehen Main Karbala Ke Hon Pyaase

4.Dhoondta Phir Raha Hai Ye Paani, In Sabeelon Main Apni Rawaani
Thordh Kar Saahil E Alqama Ko, Karta Rehta Hai Ab Nauhakhaani
Usko Sharmindigi Aaj Bhi Hai, Usko Sharmindigi Aaj Bhi Hai
Is Qadar Sayyeda Fatima Se

Aao Aao Sabeel e Hussain Per, Zehen Main Karbala Ke Hon Pyaase
Aao Aao Sabeel e Hussain Per, Zehen Main Karbala Ke Hon Pyaase

5.Al Atash Ki Sada Yaad Rakhna, Yaad Rakhna Sakina Ka Kooza
Yaad Rakhna Vo Mashk e Sakina, Bharne Aaya Jo Darya Pe Saqqa
Teer Mashk e Jarri Pe Laga Jab, Teer Mashk e Jarri Pe Laga Jab
Beh Gaye Uske Armaan Saare

Aao Aao Sabeel e Hussain Per, Zehen Main Karbala Ke Hon Pyaase
Aao Aao Sabeel e Hussain Per, Zehen Main Karbala Ke Hon Pyaase

6.Ye Sabeelain Hain Jo Bhi Lagaate, Aur Pyaason Ko Paani Pilaate
Unse Khush Murtaza Mustafa Hain, Fatima Ki Dua Hain Vo Paate
Jaam Paani Ka Peene Yahan Per, Jaam Paani Ka Peene Yahan Per
Ambiya Aur Malaaik Hain Aate

Aao Aao Sabeel e Hussain Per, Zehen Main Karbala Ke Hon Pyaase
Aao Aao Sabeel e Hussain Per, Zehen Main Karbala Ke Hon Pyaase

7.Ye Sabeelon Ka Jo Silsila Hai, Ye Bhi Sarwar Ka Ek Maujiza Hai
Bakhuda Hamne “SALMAN” O “MESUM”, In Sabeelon Pe Maangi Dua Hai
Ye Sabeel e Hussain Ibn e Haider, Ye Sabeel e Hussain Ibn e Haider
Jaayain Hum Karbala Main Lagaane

Aao Aao Sabeel e Hussain Per, Zehen Main Karbala Ke Hon Pyaase
Aao Aao Sabeel e Hussain Per, Zehen Main Karbala Ke Hon Pyaase

Sabeel E Hussain
Sabeel E Hussain
Sabeel E Hussain
Sabeel E Hussain

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *