haay haay haay
haay haay sakina
jaago ay baali sakina
dete hain aawaaz baba
ek shab sakina shaam ke zindaan me so gayi
baba ko dekha khwaab me kehte the wo yehi
bohat ro chuki meri jaan jaag jaa
chal sakina chalein karbala
saath baba ke rehna sada
mujh se bichhri to soyi nahin meri jaan
ek ek saans tum par thi kohe garaan
aur us par sitam qaid ki sakhtiyaan
teri aah o buka par bhi paabandiyaan
is liye kar raha hun buka
chal sakina chalein karbala
saath baba ke rehna sada
hai yahaan sirf tanhaayi taarikiyaan
ye ghutan aur taqdeer ki beriyaan
chaahne waale tere to sab hain wahaan
chain aata hai apnon ke hi darmiyaan
chhor kar ab ye shehre jafa
chal sakina chalein karbala
saath baba ke rehna sada
yaad karta hai asghar tujhe meri jaan
tujh ko aawaaz deta hai wo bezabaan
wo wahaan reh gaya aagayi tu yahaan
wo wahaan nohakhwaan tu yahaan nohakhwaan
chain donon ko aa jaayega
chal sakina chalein karbala
saath baba ke rehna sada
saath apne tujhe leke jaawunga mein
tere ammu se tujh ko milaawunga mein
haan tujhe baaliyaan bhi pinhaawunga mein
apne sine pe tujh ko sulaawunga mein
hai wahaan par jahaan ek naya
chal sakina chalein karbala
saath baba ke rehna sada
ab na talwaar o neza hai na teer hai
karbala ab to ghazi ki jaageer hai
tere baba ke khwaabon ki taabeer hai
ek aagosh hai jis me besheer hai
dil ye tera behel jaayega
chal sakina chalein karbala
saath baba ke rehna sada
shaam se mukhtalif hai wahaan ki fizaa
kon tujh par wahaan ab karega jafa
tera akbar bhi hai aur tere chacha
saare pehron se aazaad hai alqamah
ab to paani bhi mil jaayega
chal sakina chalein karbala
saath baba ke rehna sada
ghurkiyaan taaziyaane tamaache lage
qaid khaane me tujh par sitam jo huwe
tera baba tarapta hai is dard se
chaahta hun dukhon se rehaayi mile
saath baba ke ay ghamzada
chal sakina chalein karbala
saath baba ke rehna sada
zakhm saare jigar ke dikhaane chalo
apne dukhre chacha ko sunaane chalo
jo sitam tum ne jhele bataane chalo
khaake karbal ko marham banaane chalo
saare zakhmon ki lene dawa
chal sakina chalein karbala
saath baba ke rehna sada
yun to har roz “farhan” o “mazhar” yun hi
baap se bachchi milti thi khwaabon me hi
zindagi ka yehi khwaab tha aakhri
yun laga saath baba ke wo laadli
chal basi sun ke bas ye sada
chal sakina chalein karbala
saath baba ke rehna sada
Comment