Husain (as) al-Ghareeb ash-Shaheed – Ali Safdar Noha 2014

Husain Husain Husain Husain Ya Husain Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2)

1. Dohai dohai khudara dohai Ye dashte bala me hai kesi tabahi bahaya hai kisne ye khoone mohd qayamat ye dhai hai kisne ilaahi jawano buzurgo ko maara gaya hai shahido me shamil hai nanha sipahi Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2)

2. kiya jashn barpa yu ehle hawas ne shahido ke laasho pe danke bajae jala daale aale mohd ke khaime sakina ke mu par tamache lagaye jo beemar tha uska bistar na choda nabi zadiyo par bhi durre chalaye Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2)

3. Uthi apne marqad se binte mohd siyah shab ki chadar me chehra chupakar gayi karbala me to usne ye dekha hai bosida kurte me ek laashe besar badan saara teero se chalni pada hai lahu me hai dooba hua saara paikar Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2)

4. tadap kar wo chillai shabbir beta lahu me nahaye ho sar bhi juda hai tabar kisne maare hai saare badan par ye teero pe kisne janaza rakha hai kaha hai mera laal abbas bolo mai puchungi usse ye kese hua hai Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2)

5. Sada sunke zahra ki tharrae ghazi juda tan se sar tha to shane kate the ghamo yaas o hasrat me majrooho muztar kahe kya ke darya kanare pade the sue alqama ab jo bibi ne dekha wafao ke sahil pe jhande pade the Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2)

6. Idhar dard o ghum ki satai thi zainab jo wehshat ke jungle me haider bani thi kabhi khaak udati kabhi ashk piti jo kunbe ke pehre pe tanha khadi thi sakina ke saqqa ko aawaz dekar ghame shahedeen me buka kar rhi thi Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2)

7. guzarish hai aaqa hamari yahi humko roze pe maula bula lijiye humko zawwar maula bana lijiye humko daaman me maula chupa lijiye giraftar zoro-sitam hum hue hai musibat se humko bacha lijiye Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2)

8. kabhi dil me deti wo maa ko sadae kabhi roke kehti ke baba kaha ho shahido ka nauha tha uske zaba par abad kis tarah uske ghum ka baya ho hume bhi sa’adat ho nusrat ki hasil khudara zahoore imame zama ho Husain Husain Husain Husain Husain Husain Ya Husain

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *