Mesum Abbas | SALAM BAR MUHARRAM | 2016

 

Ya Aba’Abdillah
Ya Aba’Abdillah
Hussain
Hussain
Hussain
Hussain
HUSSAIN

Hussain Hussain Hussain Hussain

Hussaina Hussaina!!

1.Shab e Awal e Muharram…
Meri Aankhon Main Nami
Qurban Tere Sog Pe…
Mere Maula Har Khushi
Meri Saanson Main Aza
Meri Dharkan Main Bukaa
Tera Gham, Gham E Karbala
Keh Rahi Hai Ye Chashme Nam

SALAM BAR MUHARRAM…!!! SALAM BAR MUHARRAM…!!!

2.Tumhe To Pata Hai Maula, Gunahgaar Hoon Main Maula
Har Ek Wakht Har Ek Lamha, Khataaon Main Hoon Mai Dooba
Magar Jab Muharram Aaya, Teri Simt Main Laut Aaya
Khatakaar Hoon Main Beshak, Magar Hoon Main Banda Tera
YE SAB KUCH TERI HI ATA HAI, HAMAIN YE MAHEENA MILA HAI
FAQAT EK AANSOO PE HI, MAKAAN KHULD MAIN PAAYA HAI
TERA JO GHAM MILA, NA KOI GHAM RAHA, AE SHAH-E-KARBALA, DIL NE YE DI SADA

SALAM BAR MAH-E-HUSSAINI…!!! SALAM BAR MUHARRAM…!!!

3.Juloos E Aza-e-Hussaini, Jahaan Main Bapa Hai Peham
Alamdaar E Karbobala Ka, Qayadat Hai Karta Parcham
Mukhaalif Tha Saara Aalam, Ruke Na Aza Aur Matam
Hueen Chauda Sadiyaan Laikin, Hai Jaari Raha Ye Muharram
Azadar e Sheh Ka Jazba, Ye Saare Jahaan Ne Dekha
Ke Kamsin Se Bachon Ne Bhi, Kaffan Ko Sarron Pe Baandha
Aashiq E Karbala, Sehte Rahay Jaffaa, Jaanain Hueen Fida, Rukna Saki Aza

SALAM BAR AZADAR…!!! SALAM BAR MUHARRAM…!!!

4.Muharram Ki Aamad Hai Aur, Ye Nazrain Jidher Jaateen Hain
Sajain Hain Aza Khaane Aur, Sabeelain Nazar Aateen Hain
Libaas e Siyah Bachon Ko, Ye Maa’en Jo Pehenaateen Hain
Aza Ke Saleeqe Ye Hi, Zamaane Ko Samjhateen Hain
Alam Mashk Aur Kalaavay, Ya Ho Hathkarri Aur Bairi
Ye Sab Ishq Ki Hain Daleelain, Nahi Rasm Samjhe Koi
Sarmayaey Aza, Samjho To BaKhuda, Ishq Ki Ibtida, Ishq Ki Inteha

SALAM BAR ISHQ-E-HUSSAINI…!!! SALAM BAR MUHARRAM…!!!

5.Karo Yaad Iksatt Hijri, Muharram Ka Vo Ashura
Muhammad Ke Kunbe Par Jo, Qayamat Hui Thi Barpa
Musalle Pe Teeron Ke Tha, Shah E Karbala Ka Laasha
Buka Kar Raheen Theen Rann Main, Aray Baal Kholay Zahra
Ye Gham Karbala Ka Gham Hai, Bapa Isliye Matam Hai
Nabi O Ali Zahra Ki, Hui Aankh Ismain Nam Hai
Qatl-e-Shahe Ummam, Kaisa Hua Sitam, Ta Hashr Bhi Ye Gham, Na Hosake Ga Kam

SALAM BAR GHAM E KARBALA…!!! SALAM BAR MUHARRAM…!!!

6.Muharram Ka Aisa Asar Hai, Zehen Main Vohi Manzar Hai
Hai Behta Hua Ek Darya, To Pyaasa Koi Lashkar Hai
Ke Bikhri Hueen Laashain Hain, To Chintee Huee Chaadar Hai
Jalaa Fatima Ka Ghar Hai, Jahaan Main Bapa Mehshar Hai
Kaheen Pe Katay Baazu Hain, Lahu Main Kaheen Ghaisu Hai
Ye Ujre Huay Pardesi, Har Ek Aankh Main Aansoo Hai
Kaisi Hui Jafaa, Zahra Ka Ghar Lutaa, Us Hi Ki Yaad Main, Jaari Hai Silsila

SALAM BAR AAL-E-SAYYADA…!!! SALAM BAR MUHARRAM…!!!

7.Jo Makhdooma-E-Alam Ne, Dua Ko Hai Haath Uthaaya,
Aza O Buka Ki Khaatir, Khuda Ne Hamai Hai Banaya
Hai “SALMAN” o “MESUM” Ham Pe, Bin E Sayyada Ka Saaya
Hamain Naaz Hai Ke Hamne, Inhi Ka To Sadqa Khaaya
Bohot Fakhr Ham Ko Iss Par, Ke Ham Hain Ghulaam E Haider
Hai Buss Zindagi Ka Maqsad, Hamari Aza E Sarwar
Shaair O NauhaKhwaan, Jab Tak Rahe Gi Jaan, Denge Ishi Tarha, Nauhon Ki Ham Azaan

SALAM BAR DUA-E-ZAHRA…!!! SALAM BAR MUHARRAM…!!!

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *