Qasim Jo Girre | Shadman Raza | Nohay Lyrics | 2016

 

Qasim jo gire ghode se, tha maut ka pehra..(2)
tha khoon mein dooba hua woh, chaand sa chehra
chhalni tha badan teero se, har zakhm tha gehra
khoo’n sar se baha, ban gaya ek ladiyo ka sehra
arey, is tarha larazta hua, laasha nahi dekha
is shaan ka kabhi koi dulha nahi dekha

2. Har jod tha toota hua, har band juda tha
baazu hai ye wo jispa ke taweez bandha tha
arey,
kuchla hua seena tha, lahu sar se baha tha
is phool se bacche pe ajab zulm hua tha
ye wazn ka taapo ka wahi, toot gayi thi
sab pasliya’n seene mein kahi’n toot gayi thi

3. Maida’n mein madad ke liye chillate the qasim
jaate the idhar aur udhar aate the qasim
arey, dam atka tha aur chayn nahi paate the qasim
lagti thi jo taape to tadap jaate the qasim
arey, ghodo se kuchal jaane ki zehmat na dikhaye
allah kisi ko ye musibat na dikhaye

4. Sheh khaak pe bhai ka pisar dhoondh rahe hai
maida’n mein wo laasha hai kaha’n dhoondh rahe hai
arey, ankho’n mein andhera hai magar dhoondh rahe hai
phir bhai ka har lakht e jigar dhoondh rahe hai
arey, tibra ke wahi’n girte hai ghash aate hai sheh ko
jab jism ka tukda koi mil jaata hai sheh ko

5. Shabbir ne jisko kabhi godi mein sulaya
haatho ko bhi chuma kabhi seene se lagaya
arey, taqdeer ne ye aaj ajab waqt dikhaya
laasha usi bachhe ka hai chadar mein uthaya
thaame hue kaule hasan e khasta jigar hai
aaza ki ye gathdi nahi bewa ka pisar hai

6. Seh lete hai kuch dard bataye nahi jaate
laashe kabhi hisso mein uthaye nahi jaate
gar shaah rida apni bichaye nahi jaate
tukde kabhi qasim ke uthaye nahi jaate
arey, chadar ko jo thaame hue abbas khade hai
akbar bhi sahare ke liye paas khade hai

7. Kya haal hai laashe ka bataya nahi jaata
shabbir se sadma ye uthaya nahi jaata
arey, gehra hai bohot zakhm chupaya nahi jaata
khaime ki taraf badhte hai, jaaya nahi jaata
arey, is gham ka kaha’n baar utha payegi bewa
jab laashe pisar dekhegi mar jayegi bewa

8. Arey, dil apna sambhala, kabhi chadar ko sambhala
khaime ki taraf chalne lage sayyede wala
tareek hua jaata tha, aankho’n ka ujala
chadar mein bandhi laash ko jab saamne daala
farwa ne ye pucha ke kaha’n laal mera hai
dil hilta hai batlaiye is gathdi mein kya hai

9. Arey, gathdi jo khuli hashr bapa ho gaya har su
tukde tha badan laash ka aur khoo’n bhare gesu
arey, taapo ke nisha seene mein aur aankho’n mein aasu
kehne laga, aahista se zehra ka wo mehru
ye dekhiye jo ek tan e sadpaash hai bhabhi
pehchaniye qasim ki yehi laash hai bhabhi

10. Maa gir gayi,
maa gir gayi ye dekhke tibra ke zamee’n par
mehshar se hi pehle tha waha khaime mein mehshar
arey, farwa ko sambhale rahi khud zainab e muztar
shabbir ki aankho’n mein qamar phir gaya manzar
arey, larzish thi har ek tukde mein kuchla hua tan tha..(2)
shabbar ka kaleja tha ke qasim ka badan tha

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *