Nadeem Sarwar | Abalfazl | 2015 | 4K

 

Abal fazl

Abal fazl e bawafa alamdare lashkaram
Maahe hashmi nasab ameere dilawaram

Khuda ke deen ka paasbaan shuja’aton ka aasmaan
Jalaal tera al amaan abal fazl

Hussainiat ka tarjuma ye ghamzadon ka saayeban
Alam badosh rehnuma abal fazl

Abal fazl e bawafa alamdare lashkaram
Maahe hashmi nasab ameere dilawaram

Ye murtaza ka gulbadan weqar e haideri chaman
Shuja’aton ki anjuman abal fazl
Ali misal tegh zan wohi sukhan wohi chalan
Ali ye dashte karbala abal fazl

Abal fazl e bawafa alamdare lashkaram
Maahe hashmi nasab ameere dilawaram

Ameere sabr ka akhi karaare jaane zainabi
Amme sakina hai yehi abal fazl
Tujhko shahadat jo mili bhulegii duniya na kabhi
Tera alam uncha raha abal fazl

Abal fazl e bawafa alamdare lashkaram
Maahe hashmi nasab ameere dilawaram

Ai noore dil mara qamar ai roshni mara sahar
Ba waqte gham mara sipar abal fazl
Tere hain sab ye pehron par tu hi duaon me asar
Tere sabab hubbe khatar abal fazl

Abal fazl e bawafa alamdare lashkaram
Maahe hashmi nasab ameere dilawaram

Ghulame ibn e murtaza rehan o sarwar
E aza humara marqaz e wafa abal fazl
Dua e binte fatima jahan alam ye jab
Uttha falak pukaara marhaba abal fazl

Abal fazl e bawafa alamdare lashkaram
Maahe hashmi nasab ameere dilawaram

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *