Kabay Ki Ronaq Kabay Ka Manzar | Muhammad Owais Raza Qadri | 2018

 

Kabay ki Ronak Kabay Ka Manzar
Kabay ki Ronak Kabay Ka Manzar Allah hu Akbar Allah-o-Akbar

DaikhoN to daikhay jawoN brabar Allah hu Akbar Allah-o-Akbar
Hamd-e-Khuda say tar hain zabanaiN kanon main ras ghoolti haiN azanain

Bass ik sadaa aa rahe hay brabar Allah hu Akbar Allah-o-Akbar
Tairay haram kya baat Mola tairay karam ki kia baat Mola

Taa umer kar day awlaa muqadar Allaho Akbar Allaho Akbar
MangeeN haiN mainy jitni duaaien manzoor hun ge maqbool hooN ge

Meezab-e-Rehmat hay mairay sar par Allah hu Akbar Allah-o-Akbar
Kaby ki Ronak Kabay Ka Manzar Allah hu Akbar Allah-o-Akbar

Yaad aa gaien jab apni khataien askhon main dhalnay lagien iltijaien
Roia ghilaf-e-Kaba pakaR kar Allah hu Akbar Allah-o-Akbar

Kabay ki Ronak Kabay Ka Manzar Allah hu Akbar Allah-hu-Akbar
Bhaija hay jannat say tujh ko Khuda nay chuma ha tujh ko mery Mustafa ne

Ay Hajar-e-Aswad taira muqadar Allah hu Akbar Allah-hu-Akbar
Kabay ki Ronak Kabay Ka Manzar Allah hu Akbar Allah-hu-Akbar

Mola Sabeeh aur kya chahta ha bass maghfirat ki ata chahta

Bakhshish kay talib pay apna karam kar Allah hu Akbar Allah-huoAkbar
Kabay ki Ronak Kabay Ka Manzar Allah hu Akbar Allah-hu-Akbar

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *