AAO ABBAS
Ya Husain …
Ya kaashif Al karbi….. Ya aqee abbas…..
ya Abbas Shah Abbas ya abbas
Zeyr e qanjar kaha mazloom Ney aao.. aao Abbas
Shimr sarr kaatney waala Hai bachaao… Bachaao Abbas
karb Shabbir ke chehrey se hataaney waaley
Aye mujhey ranj museebat see chudhaaney waaley
Aaj phir farz wohi apna nibhaao… Nibhaao abbas
saamney bacho ke aisa bhi kabhi hota Hai
Aisi gustaaqi ye karta Hai ke dil rotaa Hai
Shimr se aakey Meri zulfey chudhaao…. Chudhaao Abbas
kabhi qanjar ye dikhaata Hai kabhi hastaa Hai
Rakhkey Quran pey zaanu ye layee baithaa Hai
Kaun Hoon my ye isey yaad Dilaao…. Dilaao Abbas
usko kartaa Hoon ishaarey nahi jaati bachi
Minnatey karti Hai qaatil ki Hamaari beti
Merey pehluu se Sakina ko Uthaao…. Uthaao Abbas
do sadaa aaye na maqtal mey Meri maajaayi
Mujhsey is pyaas mey bolaa nahi jaata Bhai
Meri Aawaaz mey Aawaaz milaao… Milaao Abbas
jeetey jee ahley Haram jaa se guzar jaayengey
Zibha hotey huwey dekhengey to marjaayengey
Uthkey pardaa darr e qaima ka giraao…. Giraao Abbas
sarr Qalam ho Mera mujhko Hai gawaara Bhayya
Unko zaqm aaye ye bardaasht na hoga Bhayya
Haath gardan se meri maa ke hataao… Hataao Abbas
beyridaa dasht mey hojaaye na Meri hamsheer
Aaqri baat Hai phir Kuch na kaheyga Shabbir
Lekey Zainab ko madeeney chaley jaao… Chaley jaao Abbas
laasha ek nehr pey uth’taa Tha kabhi girtaa Tha
Ibney zehra Jo takallum ye sadaa deta Tha
Aaqri waqt Hai yaaseen sunaao… Sunaao abbas
Ya kaashif Al karbi….. Ya aqee abbas…..
Comment