Ghar Sy Jany Lagy Shabbir To Sughra Ny Kaha
Ly Chalo Mujh Ko Bhi Beemar Tumhen Dy Gi Dua
Ho Jana Khafa Raah Mein Gar Roye Gi Sughra
Yaan Neend Kab Ati Hai Jo Han Soye Gi Sughra
Baba Baba
Tanhai Saza Hai Mujhy Aisi Na Saza Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Baba Baba
Baba Mujhy Fizza Ki Sawari Mein Bitha Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Sab Bethy Sawari Py Main Paidal Hi Chalun Gi
Wada Hai Kisi Ko Koi Takleef Na Dun Gi
Baba Baba
Amman Sy Main Har Giz Na Kahun Gi Keh Daba Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Palkon Sy Main Saya Bhi Asghar Py Karun Gi
Amman Ki Sawari Sy Bahut Door Rahun Gi
Baba Baba
Han Keh Ky Meri Zeest Ky Kuch Roz Barha Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Main Pani Pilaun Gi Sawari Ko Tumhari
Behlaun Gi Rasty Mein Sakina Ko Tumhari
Baba Baba
Jo Kam Kaneezon Ky Hain Sab Mujh Ko Bata Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Sab Nazren Churaty Hain Koi Dam Nahi Bharta
Sach Hai Koi Murdey Sy Muhabbat Nahi Karta
Baba Baba
Taoqeer Meri Yeh Hai To Marny Ki Dua Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Kya Guzry Gi Jab Ghar Sy Chaly Jayen Gy Akbar
Kaisy Mujhy Har Bat Mein Yad Ayen Gy Akbar
Baba Baba
Kab Ayen Gy Leney Mujhy Bhaia Yeh Bata Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Han Apni Muhabbat Ka Main Izhar To Kar Lun
Thehro Ali Asghar Ko Zara Pyar To Kar Lun
Baba Baba
Naqy Sy Jhalak Nanhy Musafir Ki Dikha Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Rehan Woh Beemar Yeh Thak Har Ky Boli
Ay Sarwar E Zeeshan Tamanna Hai Yeh Meri
Baba Baba
Jaty Ho To Turbat Meri Tum Khud Hi Bana Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Baba Baba Baba
Baba Mujhy Fiiza Ki Sawari Mein Bitha Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Comment