Haidar ki dua se apni dua mango,
Ya Abbas Adrikni. Ya Abbas Adrikni,
Ya Abbas Adrikni
1. Mayoos koi hoke na lotega kabhi bhi.
Jata nhi is dar se kbhi koi bhi khali.
Mash hoor he dunYa me skhavt bs ini ki.
Banke savali chaliye bas ik bar.
Milke kahenge sare azadar.
Ya Abbas Adrikni Ye keh ke khuda se apni dua mango.
Ya Abbas Adrikni, Ya Abbas Adrikni
2. DunYa me faqat yeh hi shehnshahe wfa he.
Is dar ki ata dunYa me har Dar se juda he.
Jo manga kisi ne usey mu manga mila he.
Daava hai mera maang ke dekho.
Sachi zuba.n se sirf ye bolo.
Ya Abbas Adrikni Khaliq ki ata se apni dua mango.
Ya Abbas Adrikni, Ya Abbas Adrikni
3. Jab nasb kahi dekho alam shahe wafa ka.
Sr apna jhuka kar karo tazeem ka sajda.
Phir mango sakina ka chacha jan se sadqa Ghazi ka prcham shan se chumo.
Hath utha kar bas yehi bolo.
Ya Abbas Adrikni Milta hai dua se apni dua mango.
Ya Abbas Adrikni, Ya Abbas Adrikni
4. Masoom bhatiji ka agr wasta doge.
Dava hai mera tum kbhi mayoos na hoge.
Jo manga hai tum ne tum use lamho me loge Jisne bhi manga usko mila hai.
Aaj sabhi ka wirde zuba hai.
Ya Abbas Adrikni Aik piyare chacha se apni dua mango.
Ya Abbas Adrikni, Ya Abbas Adrikni
5. Mazhab ki koi qaid Yaha par nhi hoti.
Muflis ki sada sunta hai shbbeer ka ghazi.
Hindu ho musalman ho Ya sikh ho isaai.
Ghazi ke dar parrr aaj wo aaye.
Apne labo par dil se wo laye.
Ya Abbas Adrikni Mabude wafa se apni duao mango Ya Abbas Adrikni,
Ya Abbas Adrikni
6. Bimar agar hai to Yaha aa ke shifa le.
Aulad ki chahat hai Yaha aa k wo pale.
Izzat hai agar pani to ho inke hawale.
Ghazi sabhi kuuuuchhhh baant raha hai.
Charo taraf baas aik sada hai.
Ya Abbas Adrikni Us rab ki ata se apni dua mango
Ya Abbas Adrikni, Ya Abbas Adrikni
7. Hai tum ko kate shano ka ab wasta mola.
Hai wasta us qalb ka jisme laga neza.
Or jisko kafan bhi na mila wasta uska.
Aao madad ko jald almadar.
Kehte hen rokar sare wfa dar.
Ya Abbas Adrikni Kuch asi ada se apni dua mango
Ya Abbas Adrikni, Ya Abbas Adrikni
9. Ho hum ko ata asghare besher ka sdqa
Sadqe me sakina ke dikha di jiye roza.
Har aik azadar kaa ro ro kai hai noha.
Hum ko khudara roza dikhao.
Ae mere mola paas bulao.
Ya Abbas Adrikni Akbar ke chacha se apni dua mango
Ya Abbas Adrikni, Ya Abbas Adrikni
8. Hai mehwe duao ap ke darbar me johar Maham
bhi dua krti hai har aan ye rokr.
Hai Saania-AdeeYa ki dua tujhse dilawar.
Door ho har gham hum se ae ghazi.
Aaj sada hai sare jaha.n ki.
Ya Abbas Adrikni Zehra ki dua se apni dua mango
Ya Abbas Adrikni, Ya Abbas Adrikni
Comment