Sab thaat para reh jaye ga jab aane wala ayega Ye dharti sona ugle gi, ye charkh gohar barsayega Kaabe ki chat par Ghazi ka, ek roz alam lehrayega
●Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega Baghayr farman e Ibn e Zahra, nizaam e dunya nahi chalega
– Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
●Kahin guzarish nahi chale gi, kisi ki saazish nahi chalegi Kare ga aa kar woh adl qayem, koi sifarish nahi chalegi Chalayega woh Ali ka sikka, kisi ka sikka nahi chalega
– Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
●Alag na hoga koi kisi se, Namaz rozay bhi ek honge Imam aayenge laut kar jab, har ek mu’azzin ba-ghaur sunle Azaan ho gi Ghadeer waali, ye kam-ziyaada nahi chalega
– Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
●Anaa ke jazbon me behne waalon, hawa e mazhab me rehne waalo Koi karega halaal tum ko, haraam maatam ko kehne waalo Dunkaan fatwon ki band hongi, kisi ka fatwa nahi chalega
– Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
●Likha huwa he hadith me bhi, zameen nijasat se dur ho gi Chalegi shamsheer Murtaza ki, zabaan o millat ki qayd kaysi Ali ka munkir ho chaahe jo bhi, zameen pe zinda nahi chale ga
– Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
●Marenge sab maslehat ke aadi, kahaan pe jayenge ye fasaadi Chhupayenge kis tarha se chehray, haram se hogi ye jab manadi Meri hukumat me is zameen par, udu e Zahra nahi chalega
– Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
●Fasaad saarey bharenge aahein, samaan ye dekhengi sab nigahein Nizam tabdeel hoga sara, ye masjideiN ho ya bargahein Woh khud chalayenge har idara, ye tera-mera nahi chalega
– Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
●Ye farsh e matam he yaad rakhna, kabhi siyaasat yaha na karna Amanat e Sayyada hein aansu, yahan khayanat se khud hi bachna Kahen na mahshar ke roz Zahra, tumhara pursa nahi chalega
– Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
●Khuda e Wahid ka faysala he, ke noor kaamil zaroor hoga Hazaar fitne uthaye dunya, Wali ka lazim zahoor hoga Baghayr Imam e zamana Akbar, kabhi zamana nahi chalega
– Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
Comment