Nadeem Sarwar – Allah Ho Akbar 2003

Roz E Ashoor Hai Zuljanah Par Sawaar

Gham Ka Seeney Py Waar Kon Maqtal Mein Ata Hai Parwardigar

Dil Mein Bhai Ki Betion Ka Apnon Ka Gham

Seh Raha Hai Musalsal Sitam Py Sitam

Khoon Mein Dooba Libas E Ghareebi Liye

Ran Mein Dekho Hussain Aa Raha Ahi

Khush Honton Sy Sookhi Zuban Sy

Jo Sada Py Sada Dy Raha Hai

Shamion Shamion

Shamion Maqtal Mein Ao Aik Pyasy Ki Jang Dekho

Allah Ho Akbar

Nam Mery Khuda Ka Rahy Ga

Kalma E La Ilaha Rahy Ga

Deen Quran Kaaba Rahy Ga

Mera Islam Zinda Rahey Ga

Taigh Meri Qaza Mein Dhali Hai

Mery Bazo Mein Zor E Ali Hai

Shamion Shamion

Shamion Maqtal Mein Ao Aik Pyasy Ki Jang Dekkho

Allah Ho Akbar

Karbala Haq Ki Taqat Rahy Gi

Yeh Lahu Ki Tamazat Rahy Gi

Meri Dharti Ki Izzat Rahy Gi

Mery Parcham Ki Hurmat Rahy Gi

Khatm Ho Jaye Gi Har Ghulami

Mujh Ko Tareekh Dy Gi Salami

Shamion Shamion

Shamion Maqtal Mein Ao Aik Pyasy Ki Jang Dekkho

Allah Ho Akbar

Tum Ho Sairab Aur Main Hun Pyasa

Tum Hazaron Ho Aur Main Hun Tanha

Mar Gaya Hai Jawan Bhai Mera

Ly Gaya Noor Ankhon Ka Beta

Jang Ka Nam Ab Tum Na Lo Gy

Kya Ali Aa Gaye Yeh Kaho Gy

Shamion Shamion

Shamion Maqtal Mein Ao Aik Pyasy Ki Jang Dekkho

Allah Ho Akbar

Khoon Kiun Admi Ka Bahayen

Aman Ky Phool Har Ja Khilayen

Sari Insaniyat Ko Jagayen

Zulm Sy Han Magar Hath Uthayen

Tum Ny Majboor Mujh Ko Kiya Hai

Ab Meri Taigh Amr E Khuda Hai

Shamion Shamion

Shamion Maqtal Mein Ao Aik Pyasy Ki Jang Dekkho

Allah Ho Akbar

Woh Jo Lashon Py Lashy Uthaye

Aik Qatra Jo Pani Na Paye

Jis Ka Ghorha Bhi Thak Kar Karahe

Jang Us Ki Hazaron Sy Haye

Phir Bhi Jinn O Malak Jang Daikhen

Arsh Waly Meri Jang Daikhen

Shamion Shamion

Shamion Maqtal Mein Ao Aik Pyasy Ki Jang Dekkho

Allah Ho Akbar

Mery Baba Ali Aa Chuky Hain

Mery Bhaia Hasan Aa Chuky Hain

Dad Abbas Bhi Dy Rahy Hain

Mujh Ko Akbar Mery Dekhty Hain

Dar E Khaima Py Behnen Kharhi Hain

Amman Zehra Dua Dy Rahi Hain

Shamion Shamion

Shamion Maqtal Mein Ao Aik Pyasy Ki Jang Dekkho

Allah Ho Akbar

Jab Kiya Parh Ky Takbeer Hamla

Shor Uthny Laga Alaman Ka

Shola E Zulfiqar Aisa Chamka

Paon Tak Khoon Mein Dooba Tha Ghorha

Ran Mein Uthny Lagiin Khoon Ki Maojen

Ja K Koofey Sy Takraiin Faojen

Shamion Shamion

Shamion Maqtal Mein Ao Aik Pyasy Ki Jang Dekkho

Allah Ho Akbar

Rab Ny Dekha Falak Sy Yeh Manzar

Bola Jibreel Sy Rab E Akbar

Keh Do Shabbir Sy Ab Yeh Ja Kar

Imtehan Khatm Hai Ibne Haider

Mutmain Nafs Waly Palat Aa

Rab Tera Tujh Sy Razi Hua

Tera Zakir Hai Tera Khuda

Ay Hussain Irjaii

Ay Hussain Irjaii Irjaii Marhaba

Shor Rehan O Sarwar Utha

Asr E Ashoor Ka Waqt Tha

Aa Rahi Thi Azan Ki Sada

Sheh Ny Sajdy Mein Sar Rakh Diya

Ya Hussain Ya Hussain…

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *