Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai x2
Kya Haal Ye Ummat Ne Zehra Ka Banaya Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai x2
Khatoon Koi Gham Se Yun Choor Nahi Dekhi
Aisi Koi Dunya Mastoor Nahi Dekhi
Athara Baras May Hi Lagti Jo Zaeefa Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai x2
Darbaar May Zaalim Ne Ki Aisi Pazeerayi
Kis Tarha Se Tu Bibi Phir Laut Ke Ghar Aayi
Baalon Ki Safedi Ne Sab Haal Sunaya Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai x2
Do Aise Janaze Hai Tareekh May Jo Uth-thay
Bas Ghar Ke Hi Logon Ne Dono Ko Diye Kaandhe
Ek Fatima Zehra (s.a) Hai Ek Bali Sakina (s.a) Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai x2
Marham Tere Zakhmo Ka Bibi Na Mila Ab Tak
Aulaade Umayya Ki Baaqi Hai Jafa Ab Tak
Rone Pe Bhi Pehra Tha Turbat Pe Bhi Pehra Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai x2
Mehdi Se Koi Pooche Kya Uspe Guzarti Hai
Awaaz Baqayya Se Jab Rone Ki Aati Hai
Aankhon Se Lahoo Rokar Wo Bhi Yehi Kehta Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai x2
Tu Roti Rahi Ghar May Hyder Se Bhi Chup Chup Ke
Ismat Ki Tarha Dukh Bhi Parde May Rahe Tere
Kuch Dard Tere Bibi Bas Jaanti Fizza Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai x2
a
Tasveer Haqeeqat Ki Khwabon Ko Banadije
Ay Bibi Takallum Ko Tabeer Dikhadije
Matam Teri Turbat Pe Hote Hue Dekha Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai x2
Comment