hussain hussain hussain hussain
hussaina hussaina hussaina hussaina
karbala karbala hussain hussain
ay mere aaqa ay maula
aap ko na dekha na suna
chauda sadi se dil hai fida
ghar me bitcha kar farshe azaa
labbaik kaha
kya karun dil hai tujh pe fida hussain
shaahe karbobala hussain
mein diwaana tera hussain
ya hussain ya hussaina
mehraabe dil me azaa ki qasam
qibla e jaa hai tu shaahe umam
kaaba e ishq hai tera haram
us ke tawaaf me nikle hum
ho itna karam
aarzoo karbala hai meri hussain
aankh me hai nami hussain
chaahta hun yahi hussain
ya hussain ya hussaina
kyun na rakhun is par mein jabeen
kaise na chumun mein wo zameen
jispe rahe hain aap makeen
aap ke qadmon ke hain wahi
par naksh haseen
mein fida tere qadmon pe hun hussain
mere dil ka sukun hussain
tu hai mera junun hussain
ya hussain ya hussaina
ishqe man jaane man
roohe man qalbe man
bewatan bekafan baadshaahe zaman
mazloom
yaad mujhe hai wo manzar
laasha zameen pe tha na zeen par
khushk gale par tha khanjar
khaa ke giri gash ek muztar
teri khwahar
aah sajde ka sajda hai karbala
aah qible ka qibla hai karbala
aah kaabe ka kaaba hai karbala
karbala karbala karbala
karbala karbala karbala
jaa na saka gar karbobala
dekha nahi jo roza tera
khaaq wujud hai phir mera
khaaq me tu us ko mila
yane ke khaaqe karbobala
gar jiyun to bhi tujh pe marun hussain
aur ayse marun hussain
jaise zinda rahun hussain
ya hussain ya hussaina
zaade safar kuch kam hai magar
dil pe huwa hai aysa asar
ishq me tere shaam o sahar
karbobala ki simt safar
karti hai nazar
mesum aur salman bayaan
zikr karo ye misle azaan
hoga ye jab bedaar jahaan
aaenge mehdi shaahe zamaan
aaj jo diwaanon ne kahaa
saara jahaan kal dega sadaa
Comment