Ali Safdar | Zehra s.a kay pisar ki amad per youn jashan manaya jata hay | Manqabat | 2018

 

Zahra sa ki pisar ki amad per youn jasahn manaya jata ha

 

 

Honton py tabasum ata ha ashko ko chupaya jata ha

 

Mansoob jo din ho Mola as say is tarhan say manaya jata ha x2

 

 

Dunia me jaragha hota ha jannat ko sajaya jata ha

youn zairay saya e mahndi e haq shaban manaya jata ha x2

 

Amal saware jaty han kirdar banaya jata ha

sab kch hi hamay mil jata ha ek babul hawaij as ghazi say

dar ki wosat ko dakh kar hi daman phaalaya jata ha

 

 

 

aye kash bas yahi maqsa ho shaban ki har ek mahfil ka

ya nafas ko mara jata ha insan banaya jata ha

 

socha ye kabhi kia ahly aza hai nusrat e mahdi me tayar

kia ho ga agr a jaye jisay har roz bulaya jata ha

 

 

hum farsh e aza say jannat ki tameer me hisa laitay han

ek ashak bahaya jata ha ek kasar banaya jata ha

 

qasim ne kaha kia moot ka dar

ye sahad say barh kar hai mithi

es tarhan shahadat ka jazba seeno me basaya jata ha

 

 

zahra sa ke pisar ye mahfil iman e amal ki ye manzil

gardan hi  nai jukhti yahan dil ko be jukhaya jata ha

 

jebleel paraon ko phalaye is dhardi per a jaty han

ek nar e haider as dunia me jis waqat lagaya jata ha

 

 

insan k ander jari ha har waqat qamar ek nafas ki jang

is karbo bala me jisam nai iman bachaya jata ha

 

 

zahra sa pisar ki amad per youn jashan manaya jata ha

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *