Muhammad Hamary Bari Shan Walay | Qari Shahid Mehmood | Naat Lyrics | 2020

 

Mohammad (s.a.w) hamare badi shan wale
Mohammad gulistan rizwan wale

Khushi se hi sarshaar imaan wale
Mohammad hamare badi shan wale

Ye shams-o-qamar aur yaqoot-o-marjan
Hain sarkar ki muskurahat pe qurban

Chamkte damkte se tandan wale
Mohammad hamare badi shan wale

Shajar chal raha hai hajar keh raha hai
Qamar ek ishare se tukde hua hai

Mojz-e-risalat ki pahchan wale
Mohammad hamare badi shan wale

Mile unko gham khwar-o-dildar sathi
Phir unme khusoosan mile char sathi

Siddiq-Umar Ali aur Usman (ra) wale
Mohammad hamare badi shan wale

Farishton ne Siddiq ka taat pahna
Sikhaya Umar ne bhi dariya ko bahna

Sahab hain mulk-e-Suleman wale
Mohammad hamare badi shan wale

Hai Anas munasib nahin itni jurrat
Kahan main kahan naat khwani ki azmat

Ke wo hain sana khwan hassaan wale
Mohammad hamare badi shan wale

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *