Ay Shairene Astaane Haider
Ay Sakhi Babul Hawaij, Sakhi Babul Hawaij, Bawafa Abbas
Assalam Ay Bawafa Babul Hawaij Assalam
Key Kason Ka Aasra Babul Hawaij Assalam
Qayem E Aal E Muhammad Kul Imamon Ka Salam
Ay Duaye Sayeda Babul Hawaij Assalam
Woh Roz Ky Jis Ka Wada Hai Woh Roz Yaqeenan Aye Ga
Insan Ka Muqaddar Badly Ga Jab Noor E Imamat Chaye Ga
Goonjy Gi Sadaye Chaal Haq Aur Mehdi E Doran Aye Ga
Us Roz Sy Sary Alam Mein Bas Aik Alam Lehraye Ga
Ghazi Ka Alam Ek Saya Jo Kal Bhi Tha Aur Aj Bhi Hai
Aur Is Ka Karam Kal Bhi Ho Ga
Abbas Abbas Abbas Abbas
Soorajon Mein Chand Ban Kar Is Tarah Zinda Raha
Chadar E Zehra Ky Saye Mein Sada Palta Raha
Yeh Ali Ibne Abi Talib Ka Sarmaya Raha
Zainab O Kulsoom Ki Bhi Ankh Ka Tara
Salam Abbas Ya Maula
Salam Abbas Ya Maula
Hurmat Deen E Nabi Zehra Ky Ghar Ki Aabroo
Dill Hai Yeh Ummul Baneen Aur Haider Ka Lahoo
Seerat E Shabbir O Shabbar Ka Sarapa Hoo Bahoo
Panjatan Ky Darmian Kis Ka Sharaf Aisa
Salam Abbas Ya Maula
Salam Abbas Ya Maula
Yeh Wo Ghar Hai Jis Taraf Dekha Hamen Maula Mila
Har Taraf Maula Hi Maula Ibtida Ta Inteha
Gird Maulon Ky Yeh Ghazi Hai Maula E Wafa
Ay Khuda Maula Nabi Maula Ali Maula
Salam Abbas Ya Maula
Salam Abbas Ya Maula
Hai Ali Ki Badshahi Asman Ho Ya Zamneen
Hai Ali Ism E Elahi Mustafa Ka Jaan Nasheen
Doosra Haider Nahi Hai Doosra Ghazi Nahi
Ya Ali Keh Kar Zubaan Ky Sath Dill Bola
Salam Abbas Ya Maula
Salam Abbas Ya Maula
Barh Raha Hai Janib E Dariya Alam Abbas Ka
Kon Roky Ga Bhala Barhta Qadam Abbas Ka
Han Magar Shabbir Ko Sehna Hai Gham Abbas Ka
Tum Ny Shabbiri Sy Apny Ghaiz Ko Roka
Salam Abbas Ya Maula
Salam Abbas Ya Maula
Alaman Woh Mashk Ka Chidna Tarhapna Shair Ka
Kya Sakina Alwida Keh Kar Woh Girna Shair Ka
Dekhti Hi Reh Gai Rasta Sakina Shair Ka
Mar Ky Bhi Seeny Sy Liptaye Tha Mashkeeza
Salam Abbas Ya Maula
Salam Abbas Ya Maula
Ho Karam Lillah Bar Haal E Ghareeban Ya Sakhi
Ap Sy Hi Lo Lagaye Hain Yeh Sary Matami
Sarwar O Rehan Ki Qayem Rahy Yeh Nokri
Ay Sakhi Babul Hawaij Fazal Ky Baba
Salam Abbas Ya Maula
Salam Abbas Ya Maula
Saqqaye Sakina
Comment