Majlis Matam Karwaenge | Nohay Nadeem Sarwar 2000 | YaAli.as

Majlis Matam Karwayenge

Ye virsa martey Martey bhi
Ye virsa martey Martey bhi
Hum naslo’n ko dejayenge
Majlis matam karwayenge

Jee karta hai mere Moula sab Karb o Bala ko jayenge
Majlis matam karwayenge

Ghazi a.s ka Alam uthayange
Dunya se qafley ayenge
Majlis matam karwayenge

Jab Subho hogi Karbal me ham Khak e Shifa ko
chumange
Din rat waha sab Ahl e aza
Moula ka sog manayenge
Majlis matam karwayenge

Jab dekheyn chand Muharram
ka Sab jayen Khayam e
Hussaini a.s par
Abbas a.s ke
Khayme par ruk kar jab izn e Ziyarat payenge
Majlis matam karwayenge

Jab pohanchenge us manzil par
Asgher a.s ke laga tha teer jaha’n
Bulwayenge nanhe bacho’n ko sub ko pani pilwayenge
Majlis matam karwayenge

Matam na rukega Ahl e Aza Akber a.s ke jaha’n Naiza tha laga
Ham khoon e Ali Akber a.s ki Qasam
Nouha Sughra s.a ka sunayenge
Majlis matam karwayenge

Darya ke kinarey beth ke ham royenge wo manzar soch ke ham
Jab Khoon me bhara
aya tha Alam
Ye soch ke ashk bahayenge
Majlis matam karwayenge

Jab Aathh Muharram ayege
bacho ko banayenge saqqa
Us roz sajaa kar Mashk o Alam
Sharbat pe nazar dilwayenge
Majlis matam karwayenge

Jab shaam e ghariba’n ayaagi keya keya na hamain rulwayegi
Ek jaltey huwe jhuley ki shabi’
yaad ayi to mar jayenge
Majlis matam karwayenge

Jis teelay se Zainab s.a ne kabhi kat’tey huwa dekha bhai ka sar
Yaad ayega roz e Ashura
seeney gham se phat jayenge
Majlis matam karwayenge

Ashur ka din jab hoga aya’n
Moula se kahen ge ro ro kar
Daman me chupalije
Moula
Ham lout ke ghar na
jayenge
Majlis matam karwayenge

Rehan ki aur Sarwar ki sada hy Karb o Bala se wabasta
Ye wirsa marty marty b ham naslo’n ko day jainge
Majlis Matam Karwainge

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *