Ae alamdar e wafa..(4)
ek tere sahare par zainab yasrab se maqtal aai thi
alma waley..(2) ha meri chadar ke rakhwaley
rabba teri khair kare
alma waley..
1. Zainab ki dharas tera alam, bhai ka dilasa tera alam
hai ehle haram ke sar ki rida, hurmat ka khulasa tera alam
chadar kaise..(2)
cheenenge ye barchiyo waley
rabba teri khair kare
2. Dariya pe lagaye hai pehre, jaa tod ghuroore batil ko
tu jaake mita de duniya se, mazloom akhi ke qatil ko
cheen le dariya..(2)
aaghosh e ali ke paale
rabba teri khair kare
3. Hai waqt teri saqqai ka, ab rog bani hai tishna labi
marjae na ye pyase bache, in sab ko hai tujh se aas badi
pyaas bujha de..(2)
kehte hai zaba ke chaale
rabba teri khair kare
4. Ye mashk e sakina dariya se, bhar lao mere pyare bhayya
in nanhe nanhe bacho ka, hai pyaas ke maare haal bura
jaldi aana..(2)
mashkeeza gale me daale
rabba teri khair kare
5. Zainab ki ummeedo par paani, pani ki talab ne pher diya
mashkiza bhara khaime ko chala, aada ne jari ko gher diya
pyaase bache..(2)
kehte rahe kooze sambhale
rabba teri khair kare
6. Maskhiza chhida bazu bhi kate, ek aankh me uske teer laga
be dast jari ghode se gira, girte hue di aaqa ko sada
sarwar pohche..(2)
hoto’n pe yahi the naale
rabba teri khair kare
7. Sarwar se kaha tha ghazi ne, ae maula meri hai arzi yahi
khaime me na lejana mujhko, takti hai sakina raah meri
baithi hai wo..(2)
raste pe nigaahe daale
rabba teri khair kare
8. Zainab ne jo dekha aate alam, bachi se kaha dekho to zara
wo shere jari aata hai mera, ab pani tumhe mil jaega
milke uthao..(2)
tum haath duaon wale
rabba teri khair kare
9. Mazhar wo qayamat ka manzar, farhan ye kehke rone laga
jab qaidi bani aulade nabi, deti thi sadaa binte zehra
shaam chali mai..(2)
asghar hai tere hawale
rabba teri khair kare
alma waley..(2) ha meri chadar ke rakhwaley
rabba teri khair kare
ae alamdar e wafa..(4)
Comment