Madare Asghar, Madare Sakina,
Zaujae Hussain, Umme Rabab
Wafa Rabab ki bay misl hai zamaanay mein
Jhalak ussi ki hai Asghar kay muskuraane mein
Naseeb laaya unhe Hashimi gharaanay mein
Shareek ho gayin Islam ko bachaanay mein
Banaaya dasht ko gulzaar apne phoolon sey
Khiraaj leyliya Allah kay Rasoolo sey
Chorus
Hum auraton mein kahan apsi wafadaari
Na hosla, na shujaa’at, na voh fidakaari
Khuda kay deen pey jab waqt aagaya bhaari
Sitam kay aagay magar maamta nahin haari
Rabab apnay mujaahid ko bhej kar ran mein
Shabab dey gayin deen e Khuda ko bachpan mein
Chorus
Sunakay loriyon mein daastaan e Sher e Khuda
Banaaya Asghar e Masoom ko jari aisa
Banaakay nanha sipaahi yeh maamta ney kaha
Lagay jo teer galay pey tou muskura dena
Hussainiat ka bharam meray laal rakhna hai
Quran e sabr ki tafseer tumko karna hai
Chorus
Rabab teri wafadaarion ko laakhon Salaam
Tamaam kargayin qurbaaniyan Hussain kay naam
Zamaanay bhar kay khavateen ko diya payghaam
Museebaton mein bhi ehd-e-wafa karo anjaam
Hayaat dhoop mein gar, zeyr e asmaan rahey
Hussainiat ka magar sar pey saaeyban rahey
Chorus
Rabab jismay rahin voh makaan pyaara hai
Sukhan Hussain ka is baat ka ishaara hai
Paey jihaad jissay har sitam gaavara hai
Khuda ussi sey hai raazi, voh hi humaara hai
Jihaad e sabr mein faulaad ka jigar hain Rabab
Baraaey Zainab o Kulsoom ik sipar hai Rabab
Chorus
Rivaayaton mein hai, Bibi ki daastaan e wafa
Kay jab nishaana koi patharon sey leta tha
Yeh soch karke na zakhmi hon Zainab e Kubra
Barhaakay apne hi maathay ko vaar rok liya
Lahu lahaan hui patharon sey payshaani
Bhulaayi jaa nahin sakti kabhi yeh qurbaani
Chorus
Aey Bibi aapkay gham ko bayaan karoon kaisay
Uthaaey daagh yateemo kay kis kaleyje sey
Kabhi Sakina pey hotay huay sitam dekhay
Balaaein li kabhi Asghar kay sar ki nezay sey
Kabhi Jalay huay jhoolay ko yaad karti thi(n)
Kabhi Hussain ki ghurbat pey aah bharti thi(n)
Chorus
Nigaar aakhri saanson talak Rabab e hazeen
Lagakay seenay se jhoolay ki lakriya roeen
Na thanda paani piya aur na saaey mein baythi(n)
Kabhi Sakina ki tanhaai par tarap uthi(n)
Adeeya Saania Mahum, Rabab ka gham hai
Bapa hai Noha o Matam Rabab ka gham hai
Chorus
Comment