Hum ko bulana Ya Rasool Allah, Hum ko bulana Ya Habeeb Allah
Kabhi to sabz gumbad ka ujala hum bhi dekhen gey
Humai(n) bulwaei(n) gey aaqa madina hum bhi dekhen gey
Hum ko bulana Ya Rasool Allah, Hum ko bulana Ya Habeeb Allah
Dharak uthay ga ye dil ya dharakna bhool jaye ga
Dil e bismil ka us dar par tamasha hum bhi dekhen gey
Humai(n) bulwaei(n) gey aaqa madina hum bhi dekhen gey
Hum ko bulana Ya Rasool Allah, Hum ko bulana Ya Habeeb Allah
Adab say haath bandhay unke rozay par kharay hon gey
Sunehri jaaliyon ka yu(n) nazaara hum bhi dekhen gey
Humai(n) bulwaei(n) gey aaqa madina hum bhi dekhen gey
Hum ko bulana Ya Rasool Allah, Hum ko bulana Ya Habeeb Allah
Dar e dolat se lotaya nahi jata koi khaali
Wahan khairat ka batna khudaya hum bhi dekhen gey
Humai(n) bulwaei(n) gey aaqa madina hum bhi dekhen gey
Hum ko bulana Ya Rasool Allah, Hum ko bulana Ya Habeeb Allah
Barasti gumbad e khazra pe takraati hui boondei(n)
Wahan par shaan se baarish barasna hum bhi dekhen gey
Humai(n) bulwaei(n) gey aaqa madina hum bhi dekhen gey
Hum ko bulana Ya Rasool Allah, Hum ko bulana Ya Habeeb Allah
Guzaray raat din apnay isi umeed pr hum ne
Kisi din to Nabi ka piyara roza hum bhi dekhen gey
Humai(n) bulwaei(n) gey aaqa madina hum bhi dekhen gey
Hum ko bulana Ya Rasool Allah, Hum ko bulana Ya Habeeb Allah
Dam e rukhsat qadam man bharke hain mehsoos kartay hain
Kise hain jaake lotanay ka yaara hum bhi dekhen gey
Humai(n) bulwaei(n) gey aaqa madina hum bhi dekhen gey
Hum ko bulana Ya Rasool Allah, Hum ko bulana Ya Habeeb Allah
Pohnch jayen gey jis din ae ujagar unke qadmoo(n) main
Kise kehte hain jannat ka nazaara hum bhi dekhen gey

Comment