Maa Fatima Zehra (sa)
Kiya Ye Zainab o Kulsoom Ne Noha Ae Maa Zehra (sa)
Sare Darbar Batlao Hua Kya Kya Ae Maa Zehra (sa)
Suna Hai Aapko Darbar Mai Pehron Khara Rakha
Ye Kehdo Jhoot Hai Zaalim Ne Tumko Hai Kaha Jhoota
Ye Haathon Mai Hai Kis Tehreer Ka Tukra Ae Maa Zehra
Kiya Ye Zainab o Kulsoom Ne Noha Ae Maa Zehra (sa)
Nishaan Kaise Hain Chehre Par Rida Se Jo Chupaati Ho
Nazar Hum Betiyon Ki Apne Rukhse Kyun Hataati Ho
Batao Hogaya Rukhsaar Kyun Neela Ae Maa Zehra
Kiya Ye Zainab o Kulsoom Ne Noha Ae Maa Zehra (sa)
Yaqeen Ata Nahi Binte Nabi Jis Waqt Roti Thi
Wahan Par Kehqahay lagte they aur Ummat Ye Hansti Thi
Tarapte Honge Manzar Dekh kar Nana Ae Maa Zehra
Kiya Ye Zainab o Kulsoom Ne Noha Ae Maa Zehra (sa)
Duain Maaon Ki Khaaliq Kabhi Bhi Rad Nahi Karta
Hamare Haq mai karna jab dua to bus yahi karna
Na Ho Humko Kabhi Darbar Mai Jaana Ae Maa Zehra
Kiya Ye Zainab o Kulsoom Ne Noha Ae Maa Zehra (sa)
Bus ek din mai Amma aapki haalat ye badli hai
Kamar kham hogayi Hai aur baalon mai safaidi hai
Tumhe ek pal ko hamne bhi na pehchaana Ae Maa Zehra
Kiya Ye Zainab o Kulsoom Ne Noha Ae Maa Zehra (sa)
Galay lagjao mere aao Maa ke paas ajaao
Meri shehzaadiyon mai theek hoon hargiz na ghabrao
Ye kehkar tum hamara dil na behlaana Ae Maa Zehra
Kiya Ye Zainab o Kulsoom Ne Noha Ae Maa Zehra (sa)
Yahi Azlan o Mesum Betiyan kehti raheen Rokar
Tumhare haal se zaahir hai sab darbar ka manzar
Saha jo zulm tumne chup Nahi sakta ae Maa Zehra
Kiya Ye Zainab o Kulsoom Ne Noha Ae Maa Zehra (sa)
Comment