Mere Baba Ke Zuljanah
Itna Bta De Kyun Ghabraya Hai Tu
Kyun Mere Baba Ko Chor Aaya Hai Tu
Tairay Qadmon Ki Jab Aawaz Aayi
Mein Yeh Samjhi Baba Ko Laya Hai Tu
Na Ghazi Hai Na Bhiya Haye Baba Ka Lasha
Maqtal Se Kon Laye Ga, Zuljanah
Mere Baba Ke Zuljanah
Tairay Qadmon Mein Yeh Gir Kar Kaha Tha
Na Le Ja Baba Ko Mere Na Le Ja
Tanha Baba Ko Jo Jane Diya Tha
Teri Wafa Pay Tha Mujhko Bharosa
Tujh Ko Ghazi Ki Qisam Rakh Le Wafa Ka Bahram
Tanha Kyun Lota Hai Bta
Mere Baba Ke Zuljanah
Rukhsat Baba Ki Na Bholi Sakina
Aakhri Baar Jo Soi Sakina
Aakar Yeh Khawab Mein Dadi Pukari
Bhaijho Hussain Ko Bali Sakina
Tab Se Bichrri Hon Dekho Jane Na Deti Unn Ko
Gir Mujh Se Kehti Na Zahra
Mere Baba Ke Zuljanah
Gham Kitnay Tootay Hai Ghareeb Al Watan Par
Naizay Chalay Hain Kya Unn Ke Badan Par
Sir To Utha Teri Aankho Mein Daikhon
Kya Kya Sitam Hue Shah E Zaman Par
Ansoon Rawan Hain Tairay Baba Kahan Hain Mere
Kyun Hai Khamosh Yeh Bta
Mere Baba Ke Zuljanah
Yeh Zahra Jane Ya Allah Jane
Mere Baba Thay Jane Kab Se Pyase
Ankhen Tumhari Mujh Se Keh Rahi Hain
Maqtal Se Tum Bhi Ho Pyase Hi Lautay
Mujh Ko Yaqeen Hain Mere Baba Ne Tum Se Pehlay
Pani Kahan Piya Hoga
Mere Baba Ke Zuljanah
Mujh Ko Taapon Ki Jo Aati Hai Sada
Wehshat Se Phateta Hai Kaleja Mera
Charon Taraf Hai Zaalmon Ka Pahra
Tanha Hain Run Mein Mere Pyase Baba
Lasha Pamaal Na Ho, Jaakar Bachalay Unn Ko
Mein Bhi Mar Jaoun Gi Warna
Mere Baba Ke Zuljanah
Lutay Na Khaimon Ko Aa Kar Sitamgar
Haye Chhin Jaye Na Phuphiyon Ki Chadar
Kis Ko Pokaron Gi Itna Bta Day
Zalim Jab Khanchay Ga Kano Ne Se Gohar
Kon Hai Ab Hamara Koi Nahi Sahara
Lut Jaye Ga Mera Kunba
Mere Baba Ke Zuljanah
Kehti Hai Karbala Darwaish O Zeeshan
Rota Raha Sir Jukaye Zwaljnah
Kaisay Sakina Ke Baba Ko Laaye
Chaane Lagi Hai Ab Sham E Gharibaan
Rakh Ke Qadmon Mein Sir Ko
Grgya Khaak Par Woh Sun Kar Sakina Ka Noha
Mere Baba Ke Zuljanah
Comment