Ashke ghume Hussain bahana sawaab hai Majlis
mein aakay rona rulana sawaab hai Bachchay
ka gaahwaray me Rona ghamay Hussain
Daryaon me ye lehro ka uthna ghamay
hussain Sehraon me ghubar ka urna ghamay hussain
Maghrib me ye Shafaq ka obharna ghamay hussain
Her sheh ke dill me shah ka gham bay hisaab ha Chauthay
Imam kehtay hein ye baaday karbala Ek Bar meray Baba kay
gham me jo ro diya Aanso ka ek Qatra, bhi ger aankh se gira
Allah Aisay shakhs ki bakhshay ga her khata Na kuch
ataab us pe ha na kuch aazaab ha Kehtay hein nahiya
ki ziyarat me ye Imam Jadday buzurgwar ay shabbir tashna kaam
Ghilmaan aur horeyn iliyeen me tammam Rukh per tamachay
maar k rotay hein sub mudaam Firdos me bhi aapka gham
bay hisaab ha Kamil ki ye riwayate sadiq bhi deikheay
Ashkay ghamay Hussain Khuda ko Pasand hai Jo chahta ha
Zehra kay Haq ko ada karay Laazim ha os pay roay
wo gham me Hussain kay Ashkay ghamay Hussain
haqay bu Turab ha Deikhain Bihar me yehi fermatay
hein Raza Ho jis jagha humaray fazaeyl ka tazkira Ro
ker sunnaya jaaey jaha zikray karbala Koee bhi es
terha ki jo majlis me jaeayga Bus wo hi kamiyab
Ba rozay hisaab ha Chauthay Imam nay ye farazdaq
se tha kaha Ye daybal o kumait se fermatay thay Raza
Kehta ha jo Hussain ki Nusrat me Mersiya Roohul
Ameen us ko madad kertay hein sada Dargahay haq
me os ka qalam kamyaab ha lo aa rahee hai Fatima zahra
ki ye sada meray ghareeb laal pay jo koi roye ga
us ka har aik ashk meray gham ki hai dawa main us ko bakhshwaongee
wada hai ye Mera us k lye khula hua jannat ka baab hai Ha
majlisay Hussain ka majid jo mertaba Wo ha bashar ki soch
aur idraak se siva Batlado subko mahum o Adeeya Saania I
s majlisay Hussain me aatay hein umbiya
Her dushmanay AZA ki tu matti kharaab haI
Comment