Faslon ko takalluf hai hamse agar
Ham bhi bebas nahi besahara nahi
Khud unhi ko pukarenge hum door se
Raste me agar paaon thak jaayenge
Hum madine me tanha nikal jaayenge
Aur galiyon me qasdan bhatak jaayenge
Ham wahan jake wapas nahi ayenge
Dhoondhte dhoondhte log thak jaayenge
Jaise hi sabz gumbad nazar ayega
Bandagi ka qarina badal jayega
Sar jhukane ki fursat milegi kise
Khud hi palkon se sajde tapak jaayenge
Naam-e-aaqa jahan bhi liya jayega
Zikr unka jahan bhi kiya jayega
Noor hi noor seeno me bhar jayega
Sari mahfil me jalwe lapak jaayenge
Ae madine ke zayer khuda ke liye
Dastan-e-safar mujh ko yun mat suna
Baat badh jayegi dil tadap jayega
Mere muhtat aansoo chhalak jaayenge
Unki chashm-e-karam ko hai is ki khabar
Kis musafir ko hai kitna shouq-e-safar
Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili
Hum bhi aaqa ke darbar tak jaayenge
Faslon ko takalluf hai hamse agar
Ham bhi bebas nahi besahara nahi
Khud unhi ko pukarenge hum door se
Raste me agar paaon thak jaayenge
Comment