Al-atash ki jab suni maine pukar,
Dil tadap uththa hua mai beqarar,
Tum tadapti thin sakina baar baar,
Chal diya mai leke mashkeeza kachaar,
Shah se milta agar izne-wigha,
Meri bacchi rehti tum pyasi bhala…
Main bohat Majboor hoon (Bridge)
Aye Sakina, Main bohat Majboor hoon x2
Nehr se wapas mai aaoun kis tarah,
Dastane-gham sunaoun kis tarah,
Mai pashema’n hun, bataoun kis tarah,
Tumse nazren ab milaoun kis tarah,
Jo tumhari mashk thi wo chid gayi,
Ab bujhegi kis tarah se tashnagi..
Main bohat Majboor hoon (Bridge)
Aye Sakina, Main bohat Majboor hoon x2
Maarta hai tumko jo shimre-layin,
Mai tadapta hun tadapti hai zamin,
Khaak-aaluda hui meri jabin,
Jism mera hai kahin bazu kahin.
Aaoun to, tum tak mai aaoun kis tarah,
Mai tamachon se bachaoun kis tarah,
Main bohat Majboor hoon (Bridge)
Aye Sakina, Main bohat Majboor hoon x2
Dekhta hun mai tumhari bekasi,
Zalimo ke zulm hain aur berukhi,
Qaid ho ke jati ho tum laadli,
Kya bataoun apni mai bechaargi,
Aake tumko mai bacha sakta nahi.
Zalimo se mai chuda sakta nahi.
Main bohat Majboor hoon (Bridge)
Aye Sakina, Main bohat Majboor hoon x2
Ghazi ka ‘ tauqeer ‘ ne nauha kaha,
Hashmi behno ne rokar padh diya,
Ro padin khulde-barin me fatima,
Ro diye hasnain, roye mutuza.
Aayi zinda’n me sakina ko qaza,
Bawafa ki ghaat par gooni sada,
Main bohat Majboor hoon (Bridge)
Aye Sakina, Main bohat Majboor hoon x2
Comment