Fatima (sa) Roti Rahi | Mir Hasan Mir Ayam e Fatmiya Noha 2022 | New Nohay 2021

Kalma go hanstay rahay Fatima roti rahee

Jaltay darwazay talay siskiyan leti rahee haye maa Zainab ki

Itni bebas thi Madina ma Nabi ki Dukhtar 

Jalta darwaza kisi nay na uthaya aa kr

haye kesa tha sitam rakhay Quran pa qadam 

Agaye Ghar ma Shaqee

Tanay suntay tha bazar ma logon sa Ali

Us na mara tha hamaray buzrugon ko kabhi

Hum na yun badla liya,Qatl Zahra ko kia

Kuch na kr paye Ali

Yaad jab ata ha dil hota ha para para

Kaisay Hasnain ka madar ko laeen na mara

Khoon ankhon sa baha sirf ya Mehdi kaha

Aur zameen pr wo giree

Sirf pehloo nahee bazoo bhi shikasta hoga

Tum na kis tarah janazay ko sambhala hoga

Kaisay turbat ma rakha tanha mayat ko bhala

Maray mazloom Ali 

Bap ki qabr pa diwarain pakar kr jana

Aray aur rotay hua us haal ma wapis ana

Is aziyat ki magar ha Sakina ko Khabar

Fatima kaisay chali

Sath darbar sa rotay hua atay hain Hassan

Maa ka qadmon ky nishanon ko mitatay tha Hassan

Us pa ya zulm hua hath zalim ka utha

Khak par Zahra giree

Jis garhee hogaya rukhsar mai paiwast gohar

Ro ka kehta raha khud sa Abu Talib ka pisar

Ayse takta na tujhay maut ajati mujhay 

Kash ay Bint e Nabi

Din ma jab chand Takalum ka wahan jata ha

Tuti Qabron mai koi saya nazar ata ha

Mujh ko lagta ha yahi ab bhi Bint e Nabi

Dhoop ma bathee hui

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *