Farhan Ali Waris | Kaisay Main Dafnaon Sakina | Noha | 2022/1444

Shaam Ke Zindan Main Ik Choti Si Qaidi
Hatho Main Pao Main Or Gardan Main Hay Rassi
Or Seenay Pe Baba Ka Hai Sar Sar Sa Hay Lipti
Moo Pe Moo Ko Rakh Ky Bohot Dair Wo Royi
Haye Rote Rote Usnay Jo Li Aakhri Hichki
Zindaan Main Dum Tor Gayee Shah Ki Pyari
Sakina Sakina

Kartey Thy Sajjad Ye Noha
Kaisay Main Dafnaon Sakina
Sakina
Kaisay Main Dafnaon Sakina
Kaisay Main Dafnaon Sakina

Qaidi Agar Qaid Main Mar Jata Hay Koi
Laash Ko Rassi Se Chura Dete Hain Uski
Haye Zakhmo Main Paiwast Rassan Hay Tere Aise
Mainne Teri Laash Se Rassi Nahi Kholi
Lasha Bikhar Jaye Kahin Na

Kaisay Main Dafnaon Sakina
Sakina
Kaisay Main Dafnaon Sakina
Kaisay Main Dafnaon Sakina

Khoon Rulata Hay Ye Manzar Meri Behna
Jism Tera Khoon Main Hay Tar Meri Behna
Hatho Pe Lasha Hay Tera Soch Raha Hoon
Ghusl Ko Pani Bhi Mayassar Nahi Behna
Tu Hi Bata Dy Meri Behna

Kaisay Main Dafnaon Sakina
Sakina
Kaisay Main Dafnaon Sakina
Kaisay Main Dafnaon Sakina

Kaisi Museebat Yeh Pari Door Watan Sa
Baba Bhi Mehroom Hay Or Tu Bhi Kafan Sa
Chahon Churana To Chura Bhi Nahi Sakta
Khoon Bhara Kurta Jo Chipka Hay Badan Sa
Tera Kafan Hai Yehi Kurta

Kaisay Main Dafnaon Sakina
Sakina
Kaisay Main Dafnaon Sakina
Kaisay Main Dafnaon Sakina

Yaad Mujhe Ata Hay Ay Ghum Zada Khuwahar
Mujhse Yehi Poochti Rehti Thi Tu Aksar
Dafan Main Hojao Agar Qaid E Sitam Main
Shimr Na Ajaye Kahin Meri Lehad Par
Ab Isi Zindan Main Dukhiya

Kaisay Main Dafnaon Sakina
Sakina
Kaisay Main Dafnaon Sakina
Kaisay Main Dafnaon Sakina

Tu Hi Nahi Teri To Saansain Bhi Thi Qaidi
Dekhi Nahi Pehle Kahin Aisi Aseeri
Sona Jo Chaha To Tujhey Neend Na Aaye
Rona Jo Chaha To Tamacho Ki Saza Thi
Hogi Teri Qabar Bhi Tanha

Kaisay Main Dafnaon Sakina
Sakina
Kaisay Main Dafnaon Sakina
Kaisay Main Dafnaon Sakina

Mazhar O Farhan Yehi Baat Hai Noha
Hatho Pe Ik Qaidi Kay Ik Qaidi Ka Laasha
Kaise Bandhe Hatho Se Main Qabar Banao
Sab Ko Rulata Tha Ye Sajjad Ka Jumla
Haye Wo Sajjad Ka Kehna

Kaisay Main Dafnaon Sakina
Sakina
Kaisay Main Dafnaon Sakina
Kaisay Main Dafnaon Sakina

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *