Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Majlis Pursa Giriya Zari Ta Hashar Rahy Ga Yeh Jari
Bhai Ki Lash Py Kar Na Saki Ek Behn Jo Matam Dukhiari
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Do Jahan Mein Aaj Hai Matam Bapa Shabbir Ka
Mojza Kehty Hain Is Ko Zainab E Dilgeer Ka
Do Jahan Mein Aaj Hai Matam Bapa Shabbir Ka
Qaidiyon Ka Qafila Sab Manzilen Tay Kar Chuka
Sham Ki Raahon Mein Ab Tak Shor Hai Zanjeer Ka
Do Jahan Mein Aaj Hai Matam Bapa Shabbir Ka
Poochiye Us Sy Keh Jis Ki Goud Khali Ho Gai
Kis Qadar Tha Zakhm Gehra Hurmala Ky Teer Ka
Do Jahan Mein Aaj Hai Matam Bapa Shabbir Ka
Khat Ka Phir Dena Jawab Ay Qasid E Sughra Magar
Yeh Bata Pehly Sabab Kya Tha Teri Takheer Ka
Do Jahan Mein Aj Hai Matam Bapa Shabir Ka
Bey Kafan Karbobala Mein Kiun Rahi Lash E Hussain
Kya Kafan Kafi Nahi Tha Chadar E Tatheer Ka
Do Jahan Mein Aj Hai Matam Bapa Shabbir Ka
Azm Jis Ka Azm E Haq Hai Naam Hai Jis Ka Hussain
Ek Payam E Mustaqil Hai Maalik E Taqdeer Ka
Do Jahan Mein Aj Hai Matam Bapa Shabir Ka
Tha Gumaan Jin Ko Nabi Ky Hukm Par Hiziyan Ka
Kya Adab Karty Woh Ahmad Ki Likhi Tehreer Ka
Do Jahan Mein Aj Hai Matam Bapa Shabbir Ka
Qaatil E Mohson Ko Ay Akhtar Zara Pehchan Ly
Khoon E Asghar Doosra Rukh Hai Usi Tasveer Ka
Do Jahan Mein Aj Hai Matam Bapa Shabbir Ka
Mojza Kehty Hain Is Ko Zainab E Dilgeer Ka
Do Jahan Mein Aj Hai Matam Bapa Shabbir Ka
Comment