Jab Khatima Bakhair Hua Faoj E Shah Ka
Kosar Py Qafila Gaya Pyasi Sipah Ka
Ghar Lut Gaya Janab E Risalat Panah Ka
Khak Urh Rahi Thi Haal Tha Yeh Bargah Ka
Haye Maqtal Mein Aaiin Fatima Zehra Barehna Sar
Chillain Zair E Taigh Hai Baba Mera Jigar
Ary Unness So (1900) Hain Zakhm Tan E Chak Chak Par
Ary Zainab Nikal Hussain Tarhapta Hai Khak Par
Haye Pahunchi Behan Jo Bhai Ky Maqtal Mein Noha Gar
Dekha Sar E Hussain Hai Naizey Ki Nok Par
Ary Sadqy Gai Luta Gaye Ghar Wada Gaah Mein
Haye Junbish Labon Ko Hai Abhi Zikr E Ilaah Mein
Mera Wada Hua Poora Nana
Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana
Nana Dekho Nawasa Kahan Aa Gaya
Mainy Karbobala Ko Mualla Kiya
Khoon Mera Aj Khak E Shifa Ban Gaya
Mainy Bachpan Ka Wada Wafa Kar Diya
Mera Wada Hua Poora
Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana
Mera Ghar Mery Bachy Meri Zindagi
Aap Ky Deen Py Sab Mainy Qurban Ki
Mery Mathy Py Bosa Do Ab Akhri
Bar Sare Nok E Naiza Sawari Chali
Mera Wada Hua Poora
Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana
Deen O Quran Bachy Tera Kaaba Bacha
Ta Qayamat Rahy Gi Azan Ki Sada
Madrisa Ban Gai Aaj Sy Karbala
Haye Nana Magar Mera Ghar Na Raha
Mera Wada Hua Poora
Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana
Chakkian Peesny Wali Maan Ki Qasam
Meri Aghosh Mein Torha Akbar Ny Dam
Kaisy Lashy Jawan Laya Sooye Haram
Apny Wady Py Sehta Raha Gham Py Gham
Mera Wada Hua Poora
Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana
Kitny Lashy Uthaye Hain Ek Roz Mein
Kitny Aansoo Bahaye Hain Ek Roz Mein
Saikrhon Teer Khaye Hain Ek Roz Mein
Sary Wady Nibhaye Hain Ek Roz Mein
Mera Wada Hua Poora
Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana
Bhai Battees (32) Barson Sy Jo Sath Tha
Mainy Wada Nibhany Mein Woh Kho Diya
Kha Gai Us Ky Shanon Ko Yeh Alqama
Woh Gaya Aur Dard E Kamar Dy Gaya
Mera Wada Hua Poora
Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana
Mery Nana Yeh Dulha Yeh Kamsin Jawan
Aisy Ronda Gaya Dasht Mein Al Amaan
Apny Bety Ko Pehchan Pai Na Maan
Us Ki Dulhan Ny Khud Torh Diin Choorhian
Mera Wada Hua Poora
Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana
Han Wo Asghar Jo Sughra Ki Thi Zindagi
Jis Ki Khatir Woh Beemar Bachi Meri
Choty Choty Sy Kurty Jo Seeti Rahi
Us Ka Khoon Apny Chehry Py Mal Ky Abhi
Mera Wada Hua Poora
Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana
Mery Nana Sakina Ka Gham Dekhiye
Umar Itni Si Itny Sitam Dekhiye
Jalti Raiti Py Us Ky Qadam Dekhiye
Kitny Majboor Hain Aj Hum Dekhiye
Mera Wada Hua Poora
Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana
Sham Rehan O Sarwar Jo Dhalny Lagi
Sar Sy Shabbir Ky Yeh Sada Ati Thi
Ay Behan Ab Yahan Sy Qayadat Teri
Mery Wady Ki Khatir Zaroori Hui
Mera Wada Hua Poora
Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana
Comment