Ik roz shah zaadi ne asmaa se ye kaha
Me ja rahi hu hujre me karne ko ab dua
Awaz gr na aaye mere shor o shain ki Bas
ye smjhna mar gayi madar Hussain ki
Bachhe jo ayen lout ke tu piyar kejio Marne ka mere
kuch bhi na izhaar kejio Alqissa band hogyi awaz e shor
shain Asmaa pichadhe khati thi our krri thi bain Itne me
aaye khailte ghar me Hasan Hussain Asmaa ye Ansu
ponch ke kehti thi dil ke chain Khana laga rhi hu me
ab khana khayye Bachhe tadap ke kehne lage ye bataye
Tumko maloom hai ye aaj talak aye asmaa Humne khana
kbhi amma ke bina khaya hai Kesi batain hain ajab hota hai
dil ko sadma humne kbhi …… Pehle btlao aye asmaa ke kahan
hain amma Le chlo humko bhi is waqt jahan hain amma Kiyun
sunai nhi deti hume amma ki sada Humne khana……
Ja ke amma se kaho noor e nazar aaye hain Jis pa qurban thin
wahi lakht e jiger ayee hain Phir humesha ki
trha dodh ke liptayen zra Humne khana………
Tumko maloom hai kis trah bolati thin wo Apne hathun
se hume khana khilati thin wo Chomti jati thin
ulfat se hamara chehra Humne khana…….
Goud me beth ke unke hi sukoon payenge Amma
jb khana khilayengi tu hum khayenge Kis lye band hai
amma ka abhi tak hujra Humne khana……..
Kis lye roti ho ab jald batao asmaa Tumko nana i qasam
kuch na chupao asmaa Dil dadhkta hai phata jata hai ghum
se seena Humne khana …… Sun ke bachhun ki fughan cheekh
ke royen asmaa Aah lipta ke kaleje se yeh bolin asmaa
Tukde dil hogaya sun sun ke tumhara jumla Humne khana…….
Aye mere laadlun kiya is trah ghbrate hain Jinki maayen
nhi hoti wo nhi khate hain Tumko amma ki qasam ab na
dobara kehna Humne khana…….
Ab na ayengi khilane ko tumhari amma Choddhkr
humko soye khuld sidharin amma Aye mere ladlo is waqt
bjaa hai kehna Humne khana ………
Aeeni kis traha se is waqt ka likkha manzar Laash pr
maan ki yeh kehte the wo Aamir ro kar Kese ta zindagi
ab khayenge khana tanha Humne khana……..
Comment