SHAAM KA HOSH – HASHIM SISTERS NOHA 2017-18- MUHARRAM 1439

Shaam Ka Hosh Na Hai Fikre Sahar Zainab Ko x2

Yaad Aata Hai Bus Eik Bhai Ka Sar Zainab Ko Chorus x 2

Yaad Karti Rahi Ujray Huay Ghar Ko Zainab

Dekh Kar Roti Rahi Bhai Ke Sar Ko Zainab

Dekh Kar Rota Raha Bhai Ka Sar Zainab Ko Chorus x 2

Pehley Dhanpa Tanne Shabbir Sarey Karbobala

Chin Gayi Shaame Ghareeban Mein Jo Zainab

Ki Rida Denay Phir Aai Rida Khaake Safar Zainab Ko Chorus x 2

Woh Jo Nikli Thi Madiney Sey Suay Karbobala

Qaafila Jispe Shahe Karbobala Ka Tha Chala Shaam

Ley Aayi Hai Woh Raaha Guzar Zainab Ko Chorus x 2

Jaanibe Shaam Hai Ghurbat Mein Ghareebon Ka Safar

Ghoom Jaata Hai Udhar Neyzay Pe Shabbir

Ka Sar Lekay Jaatay Hain Sitamgaar Jidhar Zainab Ko Chorus x 2

Saanie Zehra Pe Bus Itna Tu Ehsaan Karday

Aye Hawa Khaak Se Tu Shaam Ki Galiyan Bhardey

Dekh Paaey Na Koi Ghair Nazar Zainab Ko Chorus x 2

Fatima Zahra Ne Jis Ke Liye Peesi Chakki Dar Tha

Zainab Ko Ke Us Par Hi Na Chal Jaey Churri Ab

Kissi Baat Ka Baaqi Nahin Dar Zainab Ko Chorus x 2

Hai Khabar Gham Ki Yahi Sari Khudaee Ke Liye

Raastay Bhar To Woh Roti Rahi Bhai Ke Liye Aai

Jab Ghar Mein To Yaad Aaye Pisar Zainab Ko Chorus x 2

Aankh Se Khu(N) Hai Rawaan Dard Ka Manzar Hai Ajeeb

Qafla Noorali Hai Dare Zindaan Ke Kareeb

Haaye Kis Mord Pe Yaad Aya Hai Ghar Zainabko Chorus x 2.

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *