ALI SAFDAR | BARSAR E KARBALA FATIMA as AA GAIYN| ALBUM 2021 | 1443 |

Hussain as Ya Hussain as

Barsar e Karbala Fatima sa aa gai

Gham uthany neya Fatima sa a gai

Thartharai zamin arsh hilnay laga

Khoof o wahshat me dobi hoi naynwah

Is alam me bhe darya bhe dooba howa

Deen orahy howay kufar bharnay laga

Dakihny ye wabah Fatima sa a gai

Khoof o dahshat ke saye han chaye howay

Be kafan khoon ki chadar me hain laty howay

saray maqtal me han lashy bikhray howay

asman ke sitaray han tootay howay

Haye ye kia ho gaya Fatima sa a gai

Hurmala ek bachy pay asa sitam

Teer bhe mara sar bhe kia ha qalam

by zuban per ye himat ye taqat ye dam

jis ke hansny pay roye thy ahlay zulam

dakhny ye ada Fatima sa a gai

Chaak Sakina sa pay barchee kalaijay me thi

Qatal e Akbar as ka noha sunati hoi

Kah rahi thi Fiza sa Ya Nabi SAW YA Nabi SAW

Khusboye Mustafa SAW is jasad say uthi

karnay aho o buqa Fatima sa a gai

Jis ki mayat per roti thi khud tishnagi

door sahil say Yooun lash ABBAS as thi

Bazo jis ke qalam sar barinda jari

ek chadi mashk pahlo me rakhi hoi

dainy daad e wafa Fatima sa a gai

Waqat aye na aisa kisi ke liye

Ghaira shabir as ko dushmani ke liye

Jis ko bhaija gaya sarwari ke liye

us ne hal min kaha nasari ke liye

sun kar asi sada Fatima sa a gai

Seena pito abad o aho girya karo

pursa shabir as ka aj zahra sa ko do

Ghazi abbas as ke zairay parcham raho

Daman e zindgi shah ke gham say bharo

tm ko dainy dua Fatima sa a gai

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *