Jalwa hai noor hai ke sarapa Raza ka hai
Tasveer e sunniyat hai ke chehra Raza ka hai
Wadi Raza ki kohe Himala Raza ka hai
Jis samt dekhiye wo ilaqa Raza ka hai
Aglo(n) ne to likha hai bohot ilm e Deen par
Jo kuch hai is sadi main wo tanha Raza ka hai
Dastaar arahi hai zamee(n) par jo sar uthay
Kitna buland aaj pharera Raza ka hai
Kis ki majaal hai jo nazar bhi mila sakay
Darbar e Mustafa main thikana Raza ka hai
Alfaaz keh rahe hain daleelo(n) ki dhaar par
Chalta hua qalam hai ke dhaara Raza ka hai
Choota hai aasaman ko meenar Azm ka
Yani atal pahaar irada Raza ka hai
Nuqte ibaratoo(n) se ubharte hain khud bakhud
Naqd o nazar pe aesa ijara Raza ka hai
Jo usne likh diya hai sanad hai wo Deen main
Ahl e Qalam ki aabroo nuqta Raza ka hai
Darya fasaahato(n) ke rawa sha’iri main hai
Ye sehl e mumtaneh hai ke lehja Raza ka hai
Is daur e pur fitan main nazar khush aqeedgi
Sarkar ka karam hai waseela Raza ka hai
Comment