Taiba Ke Jaane Wale | Muhammad Owais Raza Qadri | Ramadan Kalam | 2019

 

 

Aie gunbad e khazra kay makeen, Meri madad ker
Ya phir yeh bata, Kon mera teray siwa hai.

Taiba ke jane waale
Ja kar bade adab se
Mera bhi qissa-e-gham
Kehana shah-e-‘Arab se

Kehna ke shahe ‘aali
Ek ranj-o-gham ka mara
Dono jahan me iska
Hain aap hi sahara

Halat-e-pur alam se
Hardam guzar raha hai
Aur kanpte labon se
Fariyad kar raha hai

Baar-e-gunah apna
Hai dosh par uthaye
Koi nahin hai aisa
Jo poochhne ko aaye

Bhatka hua musafir
Manzil ko dhoondta hai
Taarikiyon me mah-e-kamil
Ko dhoondta hai

Seene me hai andhera
Dil hai siyah khana
Ye sab meri haqeeqat
Sarkar (saw) ko sunana

Kehana mere Nabi se
Mahroom hun khushi se
Sar par ek abr-e-gham hai
Ashkon se aankh nam hai

Taiba ke jaane wale, Jakar baray aadab say
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say
Taiba Ke Jaane Wale
Taiba Ke Jaane Wale

Kehna kay shah e aali, eik ranj o gham ka mara
Dono jahan mein iska, hai app hi sahara
Halaat e pur aalam se, har dam guzar raha hai
Aur kanptay labhoon se, faryaad ker raha hai

Baaray gunah apna, hai dosh per uthaye
Koi nahin hai aisa, jo puchanay ko aiye
Bhatka hua musafar manzil ko dhundta hai
Tarikiyoon mein mah e kamil ko dhundta hai

Senay mein hai andhera, dil hai siyah khana
Senay mein hai andhera, dil hai siyah khana
Yeh sab meri haqeeqat sarkar ko sunana

Kehna meray Nabi say, mehroom hoon khushi say, sar per eik abray gham hai
Ashkoon say aankh naam hai, pamale zindagi hoon, sarkar ummati houn,
Ummat kay rehnuma ho, kuch arz e hal sunlo, faryaad ker raha houn,
Mein dil figar kab se, mera bhi kisa e gham kehna shahe arab sai

Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab se
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab se
Taiba Ke Jaane Wale
Taiba Ke Jaane Wale

Kehna kay kha raha houn, mein thokarein jahan mein
Tum hee batao aaqa, jaoon bhala kahan main
Mehsoos ker raha houn, duniya hai aik dhoka
Matlab kay yaar hain sab, koi nahin kisi ka
Kis ko mein apna janoon, kis ka main loun sahara
Mujko to meray aaqa hai aap ka sahara

Pamal-e-zindagi hun
Sarkar ummati hun
Ummat ke rahnuma ho
Kuchh ‘arz-e-haal sun lo

Fariyad kar raha hun
Main dil figar kab se
Mera bhi qissa-e-gham
Kehna shah-e-‘Arab se

Taiba ke jane wale
Ja kar bade adab se

Tum hi suno gay meri, tum hee karam karo gay
Dono jahan mein tumhi, mera bharam rakho gay

Tum daad kha e alam, mein eik naseeb e barham
Tum bay kasoun kay wali, main bay nawas wali
Tum aasiyoon ka yaara, mein gardishoon ka mara
Rehmat ho tum sarapa, main murtiqam khata ka
Houn sharam sar apnay, aamal kay sabab se
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab se

Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab se
Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab se
Taiba Ke Jaane Wale
Taiba Ke Jaane Wale

Aie aazam e madina, jaa kar Nabi say kehna
Soz e gham e aalam say, aab jal raha hai seena
Kehna kay dil mein lakhoon armaan bharay huay hain
Kehna kay hasratoon kay nashtar chubhay huey hein
Hai arzoo yeh dil ki, mein bhi madinay jayoun
Sultan e dojahan ko, sab dagh e dil dikhoon.

Tum hi bataao aaqa
Jaaun bhala kahan main
Mahsoos kar raha hun
Duniya hai ek dhoka

Matlab ke yaar hain
Sab koi nahin kisi ka
Kis ko main apna janun
Kis ka main lun sahara

Katoun hazar chakar, taiba ki har gali ke
Youn hee guzar doun mein, aayam zindagi ke

Phooloon pay jaan nisaroon, katoun pay dil ko waroun
Zaroun ko doun salami, dar ki karoun ghulami
Deewar o dar ko choumoon, qadmoon pay sar ko rakh doon
Mehboob say lipat kar, rota rahoun bara ber
Aalam kay dil mein hai yeh, hasrat najanay kab se
Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab se

Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab se
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab se
Taiba Ke Jaane Wale
Taiba Ke Jaane Wale

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *